Baar Baar Dekho Hazaar Baar Dekho from China Town (1962)

Advertisements

Movie : China Town (1962)
Singers : Mohammad Rafi
Song : Baar Baar Dekho Hazaar Baar Dekho
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Actors : Shammi Kapoor, Jeevan Kala, Helen
Music Director : Ravi

Baar baar dekho, Hazaar baar dekho
Ke dekhne ki cheez hai, Hamara dilruba
Taali ho, taali ho, taali ho
Oo..
Baar baar dekho, Hazaar baar dekho
Ke dekhne ki cheez hai, Hamara dilruba
Taali ho, taali ho, taali ho

Haan ji haan
Aur bhi honge dildaar yahaan
Laakhon dilon ki bahaar yahaan
Par ye baat kahaan
Haaye
Haan ji haan
Aur bhi honge dildaar yahaan
Laakhon dilon ki bahaar yahaan
Par ye baat kahaan

Ye bemisaal husn, lajwaab ye ada
Taali ho, taali ho, taali ho

Baar baar dekho, Hazaar baar dekho
Ke dekhne ki cheez hai, Hamara dilruba
Taali ho, taali ho, taali ho

Dil mila, ek jaan e mehfil mila
Ya chiraag e manzil mila
Ye na poochho ke kahaan

Dil mila, ek jaan e mehfil mila
Ya chiraag e manzil mila
Ye na poochho ke kahaan

Naya naya ye aashiqui ka raaz hai mera
Taali ho, taali ho, taali ho

Baar baar dekho, Hazaar baar dekho
Ke dekhne ki cheez hai, Hamara dilruba
Taali ho, taali ho, taali ho

Balle balle, uthke mister kyun chale
Pyaar pe mere kaho kyun jale
Baith bhi jao meherbaan

Balle balle, uthke mister kyun chale
Pyaar pe mere kaho kyun jale
Baith bhi jao meherbaan

Dua karo mile tumhein bhi aisa dilruba
Taali ho, taali ho, taali ho

Baar baar dekho, Hazaar baar dekho
Ke dekhne ki cheez hai, Hamara dilruba
Taali ho, taali ho, taali ho

Taali ho, taali ho
Taalii Ho,  Taalii Ho Taalii Ho

A very famous song from the film China Town which is released in 1962. The film was not much hit but this song in great voice of Mohammad Rafi ranked good in music chartbusters. The song is picturised on Shammi Kapoor.

Popular Songs:

 

No Responses to “Baar Baar Dekho Hazaar Baar Dekho from China Town (1962)”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.