Jahan Teri Ye Nazar Hai from Kaalia (1981)

Advertisements

Movie : Kaalia (1981)
Singers : Kishore Kumar
Song : Jahan Teri Ye Nazar Hai
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Actors : Amitabh Bachchan, Parveen Babi, Amjad Khan, Pran, Asha Parekh
Music Director : R D Burman

Aye he…
Jahan teri ye nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai
Jahan teri ye nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai
Bach na saka koi aaye kitne
Lambe hain mere haath itne
Dekh idhar yaar dhyaan kidhar hai
Arre dekh idhar yaar dhyaan kidhar hai
Jahan teri ye nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai

Kyon nahi jaani tu ye samajhta
Kaam nahi ye hai tere bas ka
Kukudu ku ku…

Kyon nahi jaani tu ye samajhta
Kaam nahi ye hai tere bas ka
Hosh mein aaja dhyaan kidhar hai
Arre Hosh mein aaja dhyaan kidhar hai
Jahan teri ye nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai

Meri taraf jo utha hai tan ke
Kat ke wahi haath gira badan se
Arre meri taraf jo utha hai tan ke
Kat ke wahi haath gira badan se
Saamne aaye kiska jigar hai
Haan saamne aaye kiska jigar hai
Jahan teri ye nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai

Chaal ye banda aisi bhi chal jaaye
Band ho mutthi arre cheez nikal jaaye
Gili gili gili chhu chhu chhu
Arre chaal ye banda aisi bhi chal jaaye
Band ho mutthi arre cheez nikal jaaye
Ye bhi karishma dekh idhar hai
Haan ye bhi karishma dekh idhar hai
Jahan teri ye nazar hai
Meri jaan mujhe khabar hai
Bach na saka koi aaye kitne
Lambe hain mere haath itne
Dekh idhar yaar dhyaan kidhar hai
Arre dekh idhar yaar dhyaan kidhar hai

The film Kaalia was released in 1981 under the direction of Tinu Anand and it is produced by Iqbal Singh.
‘Kaalia’ is an action drama film which has done a great business at the box office and it is also listed in hit
films of Mr. Bachchan.

Popular Songs:

 

2 Responses to “Jahan Teri Ye Nazar Hai from Kaalia (1981)”  

  1. 1 kishore

    what a song that touch heart

  2. 2 Vaseem

    Hello I am Vaseem M Yasin from Chandigarh

    I like so much this song

Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.