Kya Hua Tera Vaada Wo Kasam from Hum Kisi Se Kam Nahi
Friday, October 17th, 2008Movie : Hum Kisi Se Kam Nahi
Singers : Mohammad Rafi
Song : Kya Hua Tera Vaada Wo Kasam
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Actors : Rishi Kapoor, Kajal Kiran, Jalal Aga, Amjad Khan
Music Director : R D Burman
Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada
Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Wo din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Wo din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera vaada
Yaad hai mujhko tune kaha tha
Tumse nahi roothenge kabhi
Dil ki tarah se haath mile hain
Kaise bhala chhootenge kabhi
Teri baahon mein beeti har shaam
Bewafaa ye bhi kya yaad nahi
Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Wo din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada
O kehne waale mujhko farebi
Kaun farebi hai ye bata
Wo jisne ghum liya pyaar ki khaatir
Ya jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya
Ke tujhe kuchh bhi yaad nahi
Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Wo din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera vaada
Wo kasam
A very famous sad song from the film ‘Hum Kisi Se Kam Nahi’. The film was relesed in 1977 and it is a
triangluar love story. Mohammad Rafi got a National Film Award for Best Male Playback Singer for this song.