Archive for the ‘Om Prakash’ Category

Bachche Man Ke Sachche from Do Kaliyaan (1968)

Saturday, October 18th, 2008

Movie : Do Kaliyaan (1968)
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Bachche Man Ke Sachche
Lyricist : Sahir Ludhianvi
Actors : Biswajeet, Mala Sinha, Mehmood, Om Prakash
Music Director : Ravi

Bachche man ke sachche
Bachche man ke sachche
Saare jag ke aankh ke taare
Ye wo nanhe phool hain jo
Bhagwaan ko lagte pyare
Bachche man ke sachche

Khud roothe khud man jaaye
Phir humjoli ban jaayein
Jhagda jiske saath karein
Agle hi pal phir baat karein

Jhagda jiske saath karein
Agle hi pal phir baat karein
Inko kisi se bair nahi
Inke liye koi gair nahi
Inka bholapan milta hai
Sabko baanh pasaare

Bachche man ke sachche
Saare jag ke aankh ke taare
Ye wo nanhe phool hain jo
Bhagwaan ko lagte pyare
Bachche man ke sachche

Insaan jab tak bachcha hai
Tab tak samajh ka kachcha hai
Jyon jyon uski umar badhe
Man par jhooth ka mail chadhe
Krodh badhe nafrat ghere
Laalach ki aadat ghere
Bachpan in paapo se hatkar apni umar guzare

Bachche man ke sachche
Tan komal man sundar
Hain bachche badon se behtar
Inme chhoot aur chahat nahi
Jhoothii jaat aur paat nahi
Bhasha ki takraar nahi
Mazhab ki deewar nahi
Inki nazron mein ek hain
Mandir masjid gurudware
Bachche man ke sachche

A cute song from the film ‘Do Kaliyaan’ which was released in 1968. The film was directed by R Krishanan and

this song was much famous among many people.

Chhun Chhun Karti Aayi Chidiya from Ab Dilli Door Nahi (1957)

Saturday, October 18th, 2008

Movie : Ab Dilli Door Nahi (1957)
Singers : Mohammad Rafi
Song : Chhun Chhun Karti Aayi Chidiya
Lyricist : Shailendra
Actors : Iftekhar, Jagdeep, Moti Lal, Om Prakash
Music Director : Dattaram Naik

Chhun chhun karti aayi chidiya
Chhun chhun karti aayi chidiya
Daal ka daana laayi chidiya
Mor bhi aaya kauwa bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiyaa

Chhun chhun karti aayi chidiya
Chhun chhun karti aayi chidiya
Daal ka daana laayi chidiya
Mor bhi aaya..
Kauwa bhi aaya..
Chooha bhi aaya..
Bandar bhi aaya..
Chhun chhun karti aayi chidhiyaa

Bhook lagi to chidiya rani
Moong ki daal pakaaegi
Are bhook lagi to chidiya rani
Moong ki daal pakaaegidaal pakaaegi daal pakaaegi
Kauwa roti laayega
Laake tujhe khilaayega
Mor bhi aaya kauva bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiya

Chalte chalte milega bhaalu
Hum bolenge naacho kaalu
Naacho kaalu naacho kaalu
Munna dhol bajayega
Bhaalu naach dikhaayega
Mor bhi aaya kauva bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiya

Saath hamaare chale baraati
Saath hamaare chale baraati
Main to hoon munne ka haathi
Munne ka haathi munne ka haathi
Seedha dilli jaunga
Teri dulhaniya launga
Mor bhi aaya kauwa bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya

Chhun chhun karti aayi chidiya
Chhun chhun karti aayi chidiya
Daal ka daana laayi chidiya
Mor bhi aaya kauwa bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiyaa

This funny and an enjoyble song is from the film ‘Ab Dilli Door Nahi’ which was released in 1957. The film was released under the banner of R K films and it was directed by Amar Kumar.