Archive for the ‘Rajendra Kumar’ Category
Sunday, October 26th, 2008
Movie : Humraaz (1967)
Singers : Mahendra Kapoor
Song : Hey Neele Gagan Ke Tale Dharti Ka Pyaar Pale
Lyricist : Shakeel Badayuni
Actors : Sunil Dutt, Nargis, Raj Kumar, Rajendra Kumar, Sarika, Iftekhar
Music Director : Ravi
Hey neele gagan ke tale
Dharti ka pyaar pale
Hey neele gagan ke tale
Dharti ka pyaar pale
Aise hi jag mein aati hain sub aahein
Aise hi shaam dhale
Hey neele gagan ke tale
Dharti ka pyaar pale
Shabnam ke moti phoolon pe bikhre
dono ki aas phale
Hey neele gagan ke tale
Dharti ka pyaar pale
Balkhaati belein masti mein khelein
Pedon se mil ke gale
Hey neele gagan ke tale
Dharti ka pyaar pale
Nadiya ka paani dariya se mil ke
Saagar ki or chale
Hey neele gagan ke tale
Dharti ka pyaar pale
Aise hi jag mein aati hain subahein
Aise hi shaam dhale
Hey neele gagan ke tale
Dharti ka pyaar pale
Aa..aa..aa..aa..
Hey neele gagan ke tale
Dharti ka pyaar pale
It is a soft song and a also very hit number in the voice of Mahendra Kapoor. The song is from the film Humraaz and Mahendra Kapoor got the filmfare award for this beautiful number.
Posted in Evergreen Songs, Humraaz (1967), Iftekhar, Mahendra Kapoor, Nargis, Raj Kumar, Rajendra Kumar, Ravi, Sarika, Shakeel Badayuni, Sunil Dutt | No Comments »
Thursday, October 23rd, 2008
Movie : Jhuk Gaya Aasmaan
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Unse Mili Nazar Ke Mere Hosh Ud Gaye
Lyricist : Hasrat Jaipuri
Actors : Rajendra Kumar, Saira Banu, Rajendra Nath, Prem Chopra, David Abraham,
Music Director : Shankarsingh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Panchal
Unse mili nazar
Ke mere hosh ud gaye
Unse mili nazar
Ke mere hosh ud gaye
Aisa hua asar aisa hua asar
Aisa hua asar
Ke mere hosh ud gaye
Unse mili nazar
Ke mere hosh ud gaye
Jab wo mile mujhe pehli baar
Unse ho gayi aankhein chaar
Jab wo mile mujhe pehli baar
Unse ho gayi aankhein chaar
Paas na baithe pal bhar wo
Phir bhi ho gaya unse pyar
Phir bhi ho gaya unse pyar
Itni thi bas khabar itni thi bas khabar
Itni thi bas khabar
Ke mere hosh ud gaye
Unse mili nazar
Ke mere hosh ud gaye
Unki taraf dil jhukne laga
Badhke kadam phir rukne laga
Unki taraf dil jhukne laga
Badhke kadam phir rukne laga
Apne aap dum ghutne laga
Apne aap dum ghutne laga
Chaaye wo is kadar chaaye wo is kadar
Chaaye wo is kadar
Ke mere hosh ud gaye
Unse mili nazar
Ke mere hosh ud gaye
Ghar mere aaya wo mehmaan
Dil mein jagaaye sau toofan
Ghar mere aaya wo mehmaan
Dil mein jagaaye sau toofan
Dekh ke unki soorat ko
Haaye reh gayi main hairaan
Haaye reh gayi main hairaan
Tadpun idhar udhar tadpun idhar udhar
Tadpun idhar udhar
Ke mere hosh ud gaye
Unse mili nazar
Ke mere hosh ud gaye
Aisa hua asar aisa hua asar
Aisa hua asar
Ke mere hosh ud gaye
Another soft song of the film in the voice of Lata Mangeshkar. The song is picturised on Saira Banu while she was dreaming for her love. Very good composing is done by the musical duo Shankar- Jaikishan.
Posted in David Abraham, Evergreen Songs, Hasarat Jaipuri, Jaikishan Dayabhai Pankal, Jhuk Gaya Aasmaan, Lata Mangeshkar, Prem Chopra, Rajendra Kumar, Rajendra Nath, Saira Banu, Shankarsingh Raghuwanshi | Comments Off
Wednesday, October 22nd, 2008
Movie : Jhuk Gaya Aasmaan
Singers : Mohammed Rafi
Song : Kaun Hai Jo Sapno Mein Aaya
Lyricist : Hasrat Jaipuri
Actors : Rajendra Kumar, Saira Banu, Rajendra Nath, Prem Chopra, David Abraham,
Music Director : Shankarsingh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Panchal
Kaun hai jo sapno mein aaya
Kaun hai jo dil mein samaya
Lo jhuk gaya aasmaan bhi
Ishq mera rang laaya
Kaun hai jo sapno mein aaya
Kaun hai jo dil mein samaya
Lo jhuk gaya aasmaan bhi
Ishq mera rang laaya
O priya aa..aa..
O priya aa..aa..
Zindagi ke har ek mod pe main
Geet gaata chala ja raha hoon
Zindagi ke har ek mod pe main
Geet gaata chala ja raha hoon
Bekhudi ka ye aalam na poocho
Manzilon se badha ja raha hoon
Manzilon se badha ja raha hoon
Kaun hai jo sapno mein aaya
Kaun hai jo dil mein samaya
Lo jhuk gaya aasmaan bhi
Ishq mera rang laya
O priya aa..aa..
O priya aa..aa..
Saj gayi aaj saari dishaayein
Khul gayi aaj jannat ki raahein
Saj gayi aaj saari dishaayein
Khul gayi aaj jannat ki raahein
Husn jab se mera ho gaya hai
Mujh pe padti hai sabki nigahein
Mujh pe padti hai sabki nigahein
Kaun hai jo sapno mein aaya
Kaun hai jo dil mein samaya
Lo jhuk gaya aasmaan bhi
Ishq mera rang laya
O priya aa..aa..
O priya aa..aa..
Jism ko maut aati hai lekin
Rooh ko maut aati nahi hai
Jism ko maut aati hai lekin
Rooh ko maut aati nahi hai
Ishq roshan hai roshan rahega
Roshni iski jaati nahi hai
Roshni iski jaati nahi hai
Kaun hai jo sapno mein aaya
Kaun hai jo dil mein samaya
Lo jhuk gaya aasmaan bhi
Ishq mera rang laaya
O priya aa..aa..
O priya aa..aa..
O priya aa..aa..
This is a famous song in the voice of Mohammad Rafi. The song is from the film ‘Jhuk Gaya Aasmaan’ which came in 1968. The film is said to be a remake of a Hollywood film ‘Here comes Mr. Jordan.’ which was released in 1941.
Posted in David Abraham, Evergreen Songs, Hasarat Jaipuri, Jaikishan Dayabhai Pankal, Jhuk Gaya Aasmaan, Mohammad Rafi, Prem Chopra, Rajendra Kumar, Rajendra Nath, Saira Banu, Shankarsingh Raghuwanshi | No Comments »
Saturday, October 18th, 2008
Movie : Dil Ek Mandir (1963)
Singers : Mohammed Rafi
Song : Yaad Na Jaaye Beete Dino Ki
Lyricist : Shailendra
Actors : Raj Kumar, Meena Kumari, Rajendra Kumar, Mehmood
Music Director : Shankarsingh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal
Yaad na jaaye beete dino ki
Jaa ke na aaye jo din
Dil kyun bulaaye unhe
Dil kyun bulaaye
Yaad na jaaye beete dino ki
Jaa ke na aaye jo din
Dil kyun bulaaye unhe
Dil kyun bulaaye
Din jo pakheroo hote
Pinjre mein main rakh leta
Din jo pakheroo hote
Pinjre mein main rakh leta
Paalta unko jatan se
Paalta unko jatan se
Moti ke daane deta
Seene se rehta lagaaye
Yaad na jaaye beete dino ki
Jaa ke na aaye jo din
Dil kyun bulaaye unhe
Dil kyun bulaaye
Tasveer unki chhupa ke
Rakh doon jahan jee chaahe
Tasveer unki chhupa ke
Rakh doon jahan jee chaahe
Man mein basi ye moorat
Man mein basi ye moorat
Lekin mite na mitaaye
Kehne ko hain wo paraaye
Yaad na jaaye beete dino ki
Jaa ke na aaye jo din
Dil kyun bulaaye unhe
Dil kyun bulaaye
Yaad na jaaye beete dino ki
It is a sad song from the film ‘Dil Ek Mandir’ which was released in 1963 under the direction of C. V. Sridhar. Raj Kumar got the filmfare award for Best Supporting Actor in this film.
Posted in Dil Ek Mandir (1963), Evergreen Songs, Jaikishan Dayabhai Pankal, Meena Kumari, Mehmood, Mohammad Rafi, Raj Kumar, Rajendra Kumar, Shailendra Kumar, Shankarsingh Raghuwanshi, Uncategorized | Comments Off
Friday, October 10th, 2008
Movie : Aap Aaye Bahaar Aayi
Singers : Lata Mangeshkar and Mohammad Rafi
Song : Mujhe Teri Mohabbat Ka Sahara
Lyricist : Anand Bakshi
Actors : Rajendra Kumar, Sadhna, Prem Chopra
Music Director : Laxmikant Kudalkar, Pyarelal
Dilshaad tha ke phool khilenge bahaar mein
Maara gaya gareeb isi aitbaar mein
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Na tha manzoor kismat ko na thi marzi bahaaron ki
Nahi to is gulistaan mein
Nahi to is gulistaan mein kami thi kya nazaaron ki
Meri nazron ko bhi koi nazaara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Khushi se apni aankhon ko main ashkon se bhigo leta
Mere badle tu has leti
Mere badle tu has leti tere badle main ro leta
Mujhe aye kaash tera dard saara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
Mili hai chandni din ko ye unki apni kismat hai
Mujhe apne muqaddar se
Mujhe apne muqaddar se faqat itni shikaayat hai
Mujhe toota hua koi sitaara mil gaya hota
Agar toofan nahi aata kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
This is a sad number and a very hit song of the film. ‘Aap Aaye Bahaar Aayi’ was released in 1971 with lead starring of Rajendra Kumar, Sadhana and Prem Chopra. It is a romantic drama in which Prem Chopra played a negetive character.
Posted in Aap Aaye Bahaar Aayi, Anand Bakshi, Evergreen Songs, Lata Mangeshkar, Laxmikant Kudalkar, Mohammad Rafi, Prem Chopra, Pyarelal, Rajendra Kumar, Sadhna | No Comments »
Sunday, October 5th, 2008
Movie : Gharana (1961)
Singers : Asha Bhonsle and Kamal Baro
Song : Daadi Amma Daadi Amma Maan Jao
Actors : Rajendra Kumar, Raj Kumar, Asha Parekh, Lalita Pawar
Lyricist : Shakeel Badayuni
Music Director : Ravi
Daadi amma daadi amma maan jao
Daadi amma daadi amma maan jao
Chhodo ji ye gussa zara has ke dikhao
Daadi amma daadi amma maan jao
Daadi amma daadi amma maan jao
Chhodo ji ye gussa zara has ke dikhao
Chhoti chhoti baaton pe na bigda karo
Chhoti chhoti baaton pe na bigda karo
Gussa ho to thanda paani pee liya karo
Khali peeli apna kaleja na jalao
Daadi amma daadi amma maan jao
Daadi amma daadi amma maan jao
Chhodo ji ye gussa zara has ke dikhao
Daadi amma daadi amma maan jao
Daadi tumhe hum to mana ke rahenge
Daadi tumhe hum to mana ke rahenge
Khana apne haathon se khila ke rahenge
Chaahe hamein maaro chaahe hamein dhamkao
Daadi amma daadi amma maan jao
Daadi amma daadi amma maan jao
Kaho to tumhari hum champi kar de
Kaho to tumhari hum champi kar de
Piyo to tumhare liye hukka bhar de
Hasi na chhupao zara aankhein to milao
Daadi amma daadi amma maan jao
Daadi amma daadi amma maan jao
Humse jo bhool hui maaf karo maa
Humse jo bhool hui maaf karo maa
Gale lag jao dil saaf karo maa
Achhi si kahani koi humko sunao
Daadi amma daadi amma maan jao
Daadi amma daadi amma maan jao
Chhodo ji ye gussa zara has ke dikhao
Daadi amma daadi amma maan jao
Daadi amma daadi amma maan jao
The film ‘Gharana’ came in 1961 and it was a big hit in that year. This film got two filmfare awards for Best Music Director and Best Lyricist. The song ‘Daadi Amma’ became a hit as a little cuteness is shown in the
song by the lyricist.
Posted in Asha Bhonsle, Asha Parekh, Evergreen Songs, Gharana (1961), Kamal Baro, Lalita Pawar, Raj Kumar, Rajendra Kumar, Ravi, Shakeel Badayuni | No Comments »
Thursday, September 25th, 2008
Movie : Suraj (1966)
Singers : Mohammad Rafi
Song : Baharon Phool Barsaao
Lyricist : Hasrat Jaipuri
Actors : Rajendra Kumar, Vyjayantimala, Mumtaz
Music Director : Shankarsingh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal
Baharon phool barsaao
Mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Baharon phool barsaao
Mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Hawaaon ragni gaao
Mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
O laali phool ki mehndi laga in gore haathon mein
Utar aa aye ghata kajal laga in pyari aankhon mein
Sitaro maang bhar jaao
Mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Baharon phool barsaao
Mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Nazaaron har taraf ab taan do ik noor ki chaadar
Bada sharmila dilbar hai chala jaaye na sharma kar
Zara tum dil ko behlaao
Mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Baharon phool barsaao
Mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Sajaaye hain jawaan kaliyon ne ab ye sej ulfat ki
Inhe maloom tha ayegi ik din rut mohabbat ki
Fizaaon rang bikhrao
Mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
Baharon phool barsaao
Mera mehboob aaya hai
Mera mehboob aaya hai
The film came in 1966 in bollywood and this song of the film is still remembered as a hit song of Mohammad Rafi. It is a romantic number in the slow voice of Rafi and is also a favourite number of many people.
Posted in Evergreen Songs, Hasarat Jaipuri, Jaikishan Dayabhai Pankal, Mohammad Rafi, Mumtaz, Rajendra Kumar, Shankarsingh Raghuwanshi, Suraj (1966), Vyjayantimala | No Comments »
Wednesday, August 20th, 2008
Movie : Mera Naam Joker
Singers : Mukesh
Song : Jeena Yahan Marna Yahan
Lyricist : Hasarat Jaipuri
Actors : Raj Kapoor, Simi Garewal, Dharmendra, Rishi Kapoor, Rajendra Kumar, Manoj Kumar
Music Director : Shankarsingh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal
Jeena yahan marna yahan iske siva jana kaha
Jeena yahan marna yahan iske siva jana kaha
Ji chahe jab humko aawaz do hum hai wahin hum the jahan
Apne yahin dono jahan iske siva jana kahan
Ye mera geet jeevan sangeet kal bhi koi dohrayega
Ye mera geet jeevan sangeet kal bhi koi dohrayega
Jag ko hasane behrubiya roop badal fir aayega
Swarg yahin narakĀ yahan iske siva jana kahan
Ji chahe jab humko aawaz do hum hai wahin hum the jahan
Apne yahin dono jahan iske siva jana kahan
Kal khel me hum ho na ho gardish main tare rahenge sada
Kal khel me hum ho na ho gardish main tare rahenge sada
Bhoologe tum bhoolenge wo par hum tumhare rahenge sada
Rahenge yahin apne nishan iske siva jana kahan
Ji chahe jab humko aawaz do hum hai wahin hum the jahan
Apne yahin dono jahan iske siva jana kahan
Jeena yahan marna yahan iske siva jana kaha
The song is from movie ‘Mera Naam Joker’. This movie made a successful hit in bollywood. This multi starrer film was full of emotions, drama and everything that made a person to watch it. It can be said in the toplist of the R K films category.
Posted in Dharmendra, Evergreen Songs, Hasarat Jaipuri, Jaikishan Dayabhai Pankal, Manoj Kumar, Mera Naam Joker, Mukesh, Raj Kapoor, Rajendra Kumar, Rishi Kapoor, Shankarsingh Raghuwanshi, Simi Garewal | No Comments »