Archive for the ‘Birthday Songs’ Category
Sunday, October 19th, 2008
Movie : Boot Polish (1954)
Singers : Asha Bhonsle & Mohammad Rafi
Song : Nanhe Munne Bachche Teri Mutthi Mein Kya Hai
Lyricist : Hasrat Jaipuri
Actors : David Abraham, Rattan Kumar, Kumari Naaz
Music Director : Shankarsingh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Panchal
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
Mutthi mein hai takdeer humaari
Mutthi mein hai takdeer humaari
Humne kismat ko bas mein kiya hai
Humne kismat ko bas mein kiya hai
Bholi bhaali matwaali aankhon mein kya hai
Bholi bhaali matwaali aankhon mein kya hai
Aankhon mein jhoome ummeedo ki diwali
Aankhon mein jhoome ummeedo ki diwali
Aanewaali duniya ka sapna saja hai
Aanewaali duniya ka sapna saja hai
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
Aaa..aa..
Bheekh mein jo moti mile loge ya na loge
Zindagi ke aansuon ka bolo kya karoge
Bheekh mein jo moti mile loge ya na loge
Zindagi ke aansuon ka bolo kya karoge
Bheekh mein jo moti mile to bhi hum na lenge
Bheekh mein jo moti mile to bhi hum na lenge
Zindagi ke aansuon ki mala pehnenge
Zindagi ke aansuon ki mala pehnenge
Mushkilon se ladte bhidte jeene mein maza hai
Mushkilon se ladte bhidte jeene mein maza hai
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
Aaa..aa..
Humse na chhupaao bachcho humein to bataao
Aanewaali duniya kaisi hogi samajhaao
Humse na chhupaao bachcho humein to bataao
Aanewaali duniya kaisi hogi samajhaao
Aanewaali duniya mein sab ke sar pe taj hoga
Aanewaali duniya mein sab ke sar pe taj hoga
Na bhookhon ki bheed hogi na dukhon ka raj hoga
Na bhookhon ki bheed hogi na dukhon ka raj hoga
Badalega zamaana ye sitaron pe likha hai
Badalega zamaana ye sitaron pe likha hai
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
Mutthi mein hai takdeer humaari
Mutthi mein hai takdeer humaari
Humne kismat ko bas mein kiya hai
Humne kismat ko bas mein kiya hai
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
Nanhe munne bachche teri mutthi mein kya hai
A superhit song from the film ‘Boot Polish’ which was released under the direction of Prakash Arora in 1954. He was also nominated for the ‘Golden Palm’ in Cannes Film Festival for this film.
Posted in Asha Bhonsle, Birthday Songs, Boot Polish (1954), David Abraham, Hasarat Jaipuri, Jaikishan Dayabhai Pankal, Kumari Naaz, Mohammad Rafi, Rattan Kumar, Shankarsingh Raghuwanshi | No Comments »
Saturday, October 18th, 2008
Movie : Andaz (1971)
Singers : Lata Mangeshkar, Suman Kalyanpur
Song : Hai Na Bolo Bolo
Lyricist : Hasrat Jaipuri
Actors : Shammi Kapoor, Hema Malini, Rajesh Khanna, Simi Garewal, Ajit, Aruna Irani
Music Director : Shankarsingh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Panchal
Hai na bolo bolo
Hai na bolo bolo
Papa bolo bolo
Mummy bolo bolo
Papa ko mummy se mummy ko papa se pyaar hai pyaar hai
Hai na bolo bolo
Hai na bolo bolo
Papa ko mummy se mummy ko papa se pyaar hai pyaar hai
Papa mummy milte hain
Chupke chupke haste hain
Papa mummy milte hain
Chupke chupke haste hain
Jaane kya kya kehte hain
Baatein karte rehte hai
Papa mummy milte hain
Chupke chupke haste hain
Papa mummy milte hain
Chupke chupke haste hain
Jaane kya kya kehte hain
Baatein karte rehte hai
Hai na bolo bolo hai na bolo bolo
Papa ko mummy se mummy ko papa se pyaar hai pyaar hai
Mummy teri achhi hai kitni bholi bhali hai
Papa bhi to achhe hain kitne pyaare pyaare hain
Mummy teri achhi hai kitni bholi bhali hai
Papa bhi to achhe hain kitne pyaare pyaare hain
Hai na bolo bolo
Hai na bolo bolo
Munni bolo bolo
Deepu bolo bolo
Papa ko mummy se mummy ko papa se pyaar hai pyaar hai
Papa se main bolungi mummy ko ghar le aayein
Mummy se main bolunga saath mujhe bhi le jaayein
Mummy bolo papa bolo
Mummy bolo papa bolo
Papa ko mummy se mummy ko papa se pyaar hai pyaar hai
Hai na bolo bolo
Hai na bolo bolo
Papa ko deepu se mummy ko munni se
Pyaar hai pyaar hai
Pyaar hai pyaar hai
This song is in the voice of Lata Mangeshkar and Suman Kalyanpur. It is from the film Andaz, directed by Ramesh Sippy in 1971.
Posted in Ajit, Andaz (1971), Aruna Irani, Birthday Songs, Hasarat Jaipuri, Hema Malini, Jaikishan Dayabhai Pankal, Lata Mangeshkar, Rajesh Khanna, Shammi Kapoor, Shankarsingh Raghuwanshi, Simi Garewal, Suman Kalyanpur | No Comments »
Saturday, October 18th, 2008
Movie : Do Kaliyaan (1968)
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Bachche Man Ke Sachche
Lyricist : Sahir Ludhianvi
Actors : Biswajeet, Mala Sinha, Mehmood, Om Prakash
Music Director : Ravi
Bachche man ke sachche
Bachche man ke sachche
Saare jag ke aankh ke taare
Ye wo nanhe phool hain jo
Bhagwaan ko lagte pyare
Bachche man ke sachche
Khud roothe khud man jaaye
Phir humjoli ban jaayein
Jhagda jiske saath karein
Agle hi pal phir baat karein
Jhagda jiske saath karein
Agle hi pal phir baat karein
Inko kisi se bair nahi
Inke liye koi gair nahi
Inka bholapan milta hai
Sabko baanh pasaare
Bachche man ke sachche
Saare jag ke aankh ke taare
Ye wo nanhe phool hain jo
Bhagwaan ko lagte pyare
Bachche man ke sachche
Insaan jab tak bachcha hai
Tab tak samajh ka kachcha hai
Jyon jyon uski umar badhe
Man par jhooth ka mail chadhe
Krodh badhe nafrat ghere
Laalach ki aadat ghere
Bachpan in paapo se hatkar apni umar guzare
Bachche man ke sachche
Tan komal man sundar
Hain bachche badon se behtar
Inme chhoot aur chahat nahi
Jhoothii jaat aur paat nahi
Bhasha ki takraar nahi
Mazhab ki deewar nahi
Inki nazron mein ek hain
Mandir masjid gurudware
Bachche man ke sachche
A cute song from the film ‘Do Kaliyaan’ which was released in 1968. The film was directed by R Krishanan and
this song was much famous among many people.
Posted in Birthday Songs, Biswajeet, Lata Mangeshkar, Mala Sinha, Mehmood, Om Prakash, Ravi, Sahir Ludhianvi | No Comments »
Saturday, October 18th, 2008
Movie : Mera Munna (1967)
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Badhaai Ho Badhaai Janamdin Ki Tumko
Lyricist : Qamar Jalalabadi
Actors : Rehman, Nutan, Raj Mehra
Music Director : Kalyanji, Anandji
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
Janamdin tumhara milenge laddoo humko
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
Sada dil laga ke tu mehnat se padhna
Mehnat se padhna
Padhaai mein aage se aage hi badhna
Aage hi badhna
Achha ji bataao maine aisa kyun kaha
Jo tum paas hoge milenge laddoo humko
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
Bade hoke laana humaari tu bhaabhi
Humaari tu bhaabhi
Ke jiski ho rangat gulaabi gulaabi
Gulaabi gulaabi
Achha ji bataao maine aisa kyun kaha
Tumhari hogi shaadi milenge laddoo humko
Tumhari hogi shaadi milenge laddoo humko
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
Budhaape mein honge idhar baal pakke
Idhar baal pakke
Udhar honge ghar mein ji bachchon ke bachche
Ji bachchon ke bachche
Achha ji bataao maine aisa kyun kaha
Tumhara hoga pota milenge laddoo humko
Tumhara hoga pota milenge laddoo humko
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
Badhaai ho badhaai janamdin ki tumko
This is a special song for birthday enviornment. The song is from the film Mera Munna which came in bollywood in 1967. The film was directed by Madhusudan and this song is in the voice of Lata Mangeshkar.
Posted in Anandji, Birthday Songs, Kalayanji, Lata Mangeshkar, Mera Munna (1967), Nutan, Qamar Jalalabadi, Raj Mehra, Rehman | No Comments »
Saturday, October 18th, 2008
Movie : Ab Dilli Door Nahi (1957)
Singers : Mohammad Rafi
Song : Chhun Chhun Karti Aayi Chidiya
Lyricist : Shailendra
Actors : Iftekhar, Jagdeep, Moti Lal, Om Prakash
Music Director : Dattaram Naik
Chhun chhun karti aayi chidiya
Chhun chhun karti aayi chidiya
Daal ka daana laayi chidiya
Mor bhi aaya kauwa bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiyaa
Chhun chhun karti aayi chidiya
Chhun chhun karti aayi chidiya
Daal ka daana laayi chidiya
Mor bhi aaya..
Kauwa bhi aaya..
Chooha bhi aaya..
Bandar bhi aaya..
Chhun chhun karti aayi chidhiyaa
Bhook lagi to chidiya rani
Moong ki daal pakaaegi
Are bhook lagi to chidiya rani
Moong ki daal pakaaegidaal pakaaegi daal pakaaegi
Kauwa roti laayega
Laake tujhe khilaayega
Mor bhi aaya kauva bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiya
Chalte chalte milega bhaalu
Hum bolenge naacho kaalu
Naacho kaalu naacho kaalu
Munna dhol bajayega
Bhaalu naach dikhaayega
Mor bhi aaya kauva bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiya
Saath hamaare chale baraati
Saath hamaare chale baraati
Main to hoon munne ka haathi
Munne ka haathi munne ka haathi
Seedha dilli jaunga
Teri dulhaniya launga
Mor bhi aaya kauwa bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidiya
Chhun chhun karti aayi chidiya
Daal ka daana laayi chidiya
Mor bhi aaya kauwa bhi aaya
Chooha bhi aaya bandar bhi aaya
Chhun chhun karti aayi chidhiyaa
This funny and an enjoyble song is from the film ‘Ab Dilli Door Nahi’ which was released in 1957. The film was released under the banner of R K films and it was directed by Amar Kumar.
Posted in Ab Dilli Door Nahi (1957), Birthday Songs, Dattaram Naik, Iftekhar, Jagdeep, Mohammad Rafi, Moti Lal, Om Prakash, Shailendra Kumar | No Comments »
Saturday, October 18th, 2008
Movie : Raja Aur Runk (1968)
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Tu Kitni Achhi Hai O Maa O Maa
Lyricist : Anand Bakshi
Actors : Sanjeev Kumar, Ajit, Mukri, Aruna Rai
Music Director : Laxmikant Kudalkar, Pyarelal
Tu kitni achhi hai
Tu kitni bholi hai
Pyari pyari hai
O maa o maa
O maa o maa
Tu kitni achhi hai
Tu kitni bholi hai
Pyari pyari hai
O maa o maa
O maa o maa
Ke ye jo duniya hai
Ye ban hai kaanto ka
Tu phulwaari hai
O maa o maa
O maa o maa
Dukhne lagi hai maa teri ankhiyaan
Dukhne lagi hai maa teri ankhiyaan
Mere liye jagi hai tu saari saari ratiyaan
Meri nindiya pe apni nindiya bhi
Tune maari hai
O maa o maa
O maa o maa
Tu kitni achhi hai
Tu kitni bholi hai
Pyari pyari hai
O maa o maa
O maa o maa
Apna nahi tujhe sukh dukh koi
Apna nahi tujhe sukh dukh koi
Main muskaaya tu muskaayi
Main roya tu royi
Mere hasne pe mere rone pe
Tu balihaari hai
O maa o maa
O maa o maa
Maa bachchon ki jaan hoti hai
Maa bachchon ki jaan hoti hai
Wo hote hai kismat waale jinki maa hoti hai
Kitni sundar hai kitni sheetal hai
Nyaari nyaari hai
O maa o maa
O maa o maa
Tu kitni achhi hai
Tu kitni bholi hai
Pyari pyari hai
O maa o maa
O maa o maa
It is a famous song of the film ‘Raja aur Runk’. The film was released in 1968. This is a family drama and it is directed by Kotayya Pratyagatma. He had worked in many Telugu films also.
Posted in Ajit, Anand Bakshi, Aruna Rai, Birthday Songs, Lata Mangeshkar, Laxmikant Kudalkar, Mukri, Pyarelal, Raja Aur Runk (1968), Sanjeev Kumar, Uncategorized | No Comments »
Saturday, October 18th, 2008
Movie : Sanjog (1971)
Singers : Lata Mangeskar
Song : Yashoda Ka Nandlala Brij Ka Ujaala Hai
Lyricist : Anand Bakshi
Actors : Amitabh Bachchan, Mala Sinha, Aruna Irani
Music Director : R D Burman
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
Yashoda ka nandlala brij ka ujaala hai
Mere laal se to saara jag jhilmilaaye
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
Yashoda ka nandlala brij ka ujaala hai
Mere laal se to saara jag jhilmilaaye
Raat thandi thandi
Hawa gaa ke sulaaye
Bhor gulaabi palkein
Choom ke jagaaye
Yashoda ka nandlala brij ka ujaala hai
Mere laal se to saara jag jhilmilaaye
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
Do aankho mein tujhe basa ke
Jaane kab se jaagu
Tu maange to jaan bhi de doon
Tujhse kuchh bhi na maangu
Khol tu aankhein dekh yahaan hoon
Aur nahi koi main teri maa hoon
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
Tere liye to kaise kaise sapne sajaaye
Mere laal se to saara jag jhilmilaaye
Yashoda ka nandlala brij ka ujaala hai
Mere laal se to saara jag jhilmilaaye
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
Jaane kab ye aati jaati
Saans kahan tham jaaye
Ek murjhaata phool toot ke
Daal se kab gir jaaye
Tu jo mujhe maa
Maa maa maa…
Tu jo mujhe maa
Kehke bulaaye
Rooh ko meri chain aa jaaye
Rooh ko meri chain aa jaaye
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
So jaun aise phir na
Jaagu main jagaaye
Mere laal se to saara jag jhilmilaaye
Yashoda ka nandlala brij ka ujaala hai
Mere laal se to saara jag jhilmilaaye
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
Raat thandi thandi
Hawa gaa ke sulaaye
Bhor gulaabi palkein
Choom ke jagaaye
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
Zu zu zu zu zu…
The song is very famous song from the film ‘Sanjog’ which was released in 1971. The film is directed by S S
Balan and Amitabh Bachchan and Mala Sinha played lead role in the film.
Posted in Amitabh Bachchan, Anand Bakshi, Aruna Irani, Birthday Songs, Lata Mangeshkar, Mala Sinha, R D Burman, Sanjog (1971) | No Comments »
Wednesday, October 15th, 2008
Movie : Masoom
Singers : Gauri Bapat, Gurpreet Kaur, Vanita Mishra
Song : Lakdi Ki Kaathi Kaathi Pe Ghoda
Lyricist : Gulzar
Actors : Naseruddin Shah, Shabana Azmi, Jugal Hansraj, Urmila Matondkar, Supriya Pathak
Music Director : R D Burman
Lakdi ki kaathi kaathi pe ghoda
Ghode ki dum pe jo maara hathoda
Dauda dauda dauda ghoda dum utha ke dauda
Lakdi ki kaathi kaathi pe ghoda
Ghode ki dum pe jo maara hathoda
Dauda dauda dauda ghoda dum utha ke dauda
Lakdi ki kaathi kaathi pe ghoda
Ghode ki dum pe jo maara hathoda
Dauda dauda dauda ghoda dum utha ke dauda
Ghoda pahuncha chauk mein chauk mein tha naai
Ghode ji ki naai ne hajamat jo banayi
Tag bag tag bag
Tag bag tag bag
Ghoda pahuncha chauk mein chauk mein tha naai
Ghode ji ki naai ne hajamat jo banayi
Dauda dauda dauda ghoda dum utha ke dauda
Lakdi ki kaathi kaathi pe ghoda
Ghode ki dum pe jo maara hathoda
Dauda dauda dauda ghoda dum utha ke dauda
La la la la la la la
La la la la la la la
Ghoda tha ghamandi pahuncha sabzi mandi
Sabzi mandi baraf padi thi baraf mein lag gai thandi
Tag bag tag bag
Tag bag tag bag
Ghoda tha ghamandi pahuncha sabzi mandi
Sabzi mandi baraf padi thi baraf mein lag gai thandi
Dauda dauda dauda ghoda dum utha ke dauda
Lakdi ki kaathi kaathi pe ghoda
Ghode ki dum pe jo maara hathoda
Dauda dauda dauda ghoda dum utha ke dauda
Ghoda apna tagda hai dekho kitni charbi hai
Chalta hai mehrauli mein par ghoda apna arbi hai
Ghoda apna tagda hai dekho kitni charbi hai
Chalta hai mehrauli mein par ghoda apna arbi hai
Baanh chhuda ke dauda ghoda dum utha ke dauda
Lakdi ki kaathi kaathi pe ghoda
Ghode ki dum pe jo maara hathoda
Dauda dauda dauda ghoda dum utha ke dauda
This is a children song from the film Masoom which was released in 1983. The film was directed by Shekar Kapoor. This famous song is picurised on Urmila Matondkar and Jugal Hansraj.
Posted in Birthday Songs, Gauri Bapat, Gulzar, Gurpreet Kaur, Jugal Hansraj, Masoom, Naseruddin Shah, R D Burman, Shabana Azmi, Supriya Pathak, Urmila Matondkar, Vanita Mishra | No Comments »
Tuesday, October 14th, 2008
Movie : Door Ki Awaaz
Singers : Asha Bhonsle and Mahendra Kapoor
Song : Hum Bhi Agar Bachche Hote
Lyricist : Shakeel Badayuni
Actors : Joy Mukherjee, Saira Banu, Pran, Durga Khote
Music Director : Ravi
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote
Naam hamaara hota dabloo babloo
Khane ko milte laddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Koi laata gudiya motor
Rail to koi laata phirki lattoo
Koi chaabi ka tattoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Kitni pyari hoti hai ye bholi si umar
Na naukri ki chinta na roti ki fikar
Nanhe munne hote hum to dete sau hukam
Peechhe phirte daddy mummy banke naukar
Choclate biscuit toffee khate
Aur peete duddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote
Naam hamaara hota dabloo babloo
Khane ko milte laddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Kaise kaise nakhare karte
Ghar waalon se hum
Pal mein hanste pal mein rote
Karte naak mein dum
Akkad bakkad lukka chhuppi
Kabhi chhua chhoo
Karte din bhar halla gulla
Danga aur oodham
Aur kabhi zid par ad jaate
Jaise adiyal tattoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote
Naam hamaara hota dabloo babloo
Khane ko milte laddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Ab to hai ye haal ki jab se beeta bachpan
Maa se jhagda baap se takkar biwi se anban
Kolhu ke hum bail bane hain
Dhobi ke gaddhe
Duniya bhar ke dande sar pe khaayein dana dan
Bachpan apna hota to na karte dhenchu dhenchu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote
Naam hamaara hota dabloo babloo
Khane ko milte laddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you…
The famous birthday song is from the film ‘Door Ki Awaaz’ which was released in 1964 and direction of the film is done by Devendra Goel. Lead starring of the film is Joy Mukherjee and Saira Banu.
Posted in Asha Bhonsle, Birthday Songs, Door Ki Awaaz, Durga Khote, Joy Mukherjee, Mahendra Kapoor, Pran, Ravi, Saira Banu, Shakeel Badayuni, Uncategorized | Comments Off
Tuesday, October 14th, 2008
Movie : Ek Phool Do Maali
Singers : Mohammad Rafi
Song : O Nanhe Se Farishte
Lyricist : Prem Dhawan
Actors : Sanjay Khan, Sadhna, Balraj Sahni, Durga Khote
Music Director : Ravi
O nanhe se farishte
Tujhse ye kaisa naata
Kaise ye dil ke rishte
O nanhe se farishte
tujhse ye kaisa naata
Kaise ye dil ke rishte
O nanhe se farishte
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Tujhe dekhne ko tarse kyun har ghadi nigaahein
Tujhe dekhne ko tarse kyun har ghadi nigaahein
Bechain si rehti hain tere liye ye baahein
Mujhe khud pata nahi hai mujhe tujhse pyaar kyun hai
O nanhe se farishte
tujhse ye kaisa naata
Kaise ye dil ke rishte
O nanhe se farishte
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Nazuk sa phool hai tu kisi aur ke chaman ka
Nazuk sa phool hai tu kisi aur ke chaman ka
Khushboo se teri mehke kyun baag mere man ka
Meri zindagi mein chhaai tujhse bahar kyun hai
O nanhe se farishte
tujhse ye kaisa naata
Kaise ye dil ke rishte
O nanhe se farishte
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Tu kuchh nahi hai mera
Phir bhi ye tadap kaisi
Tujhe dekhte hi khoon mein uthti hai kyun leher si
Har waqt mujhko rehta tera intezaar kyun hai
O nanhe se farishte
tujhse ye kaisa naata
Kaise ye dil ke rishte
O nanhe se farishte
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you
‘Ek Phool Do Maali’ is a 1969 film which was a huge hit of the year. The film was directed by Devendra Goel
and it was the third top film of the year. This birthday song was also much appreciable from the film.
Posted in Balraj Sahni, Birthday Songs, Durga Khote, Ek Phool Do Maali, Mohammad Rafi, Prem Dhawan, Ravi, Sadhna, Sanjay Khan | No Comments »
Tuesday, October 7th, 2008
Movie : Farz (1967)
Singers : Mohammad Rafi
Song : Baar Baar Din Ye Aaye
Lyricist : Anand Bakshi
Actors : Jeetendra, Babita, Aruna Irani
Music Director : Laxmikant Kudalkar, Pyarelal
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to Sunita
Happy birthday to you
Baar baar din ye aaye
baar baar dil ye gaaye
Baar baar din ye aaye
baar baar dil ye gaaye
Tu jiye hazaaron saal
ye meri hai aarzoo
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to Sunita
Happy birthday to you
Baar baar din ye aaye
baar baar dil ye gaaye
Tu jiye hazaaron saal
ye meri hai aarzoo
Happy birthday to you, oh ho
Happy birthday to you, aa ha
Happy birthday to Sunita
Happy birthday to you
Beqaraar hoke, daaman thaam loon main kiska
Beqaraar hoke, daaman thaam loon main kiska
Kya misaal doon main teri, naam loon main kiska
Nahi nahi aisa haseen koi nahi hai
Jis pe ye nazar ruk jaaye be misaal jo kehlaaye
Tu jiye hazaaron saal
ye meri hai aarzoo
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to Sunita
Happy birthday to you
auron ki tarah kuchh main bhi
tohfa aaj laata
auron ki tarah kuchh main bhi
tohfa aaj laata
Main teri haseen mehfil mein phool leke aata
Jinhe kahan usse kya hai phoolon ki zaroorat
Jo bahaar khud kehlaaye har kali ka dil dhadkaaye
Tu jiye hazaaron saal
ye meri hai aarzoo
Happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to Sunita
Happy birthday to you
phoolon ne chaman se tujhko hai salam bheja
phoolon ne chaman se tujhko hai salam bheja
taaron ne gagan se tujhko ye payaam bheja
dua hai ye khuda kare aye shokh tujhko
chand ki umar lag jaaye
aaye to qayamat aaye
Tu jiye hazaaron saal
ye meri hai aarzoo
Happy birthday to you, oh ho
Happy birthday to you, aa ha
Happy birthday to Sunita
Happy birthday to you
Baar baar din ye aaye
baar baar dil ye gaaye
Tu jiye hazaaron saal
ye meri hai aarzoo
Happy birthday to you, oh ho
Happy birthday to you, aa ha
Happy birthday to Sunita
Happy birthday to you
The song is a very special song in the category of Birthday Occasion. It is from the film Farz which came in 1967 and this song is in the voice of Mohd. Rafi.
Posted in Anand Bakshi, Aruna Irani, Babita, Birthday Songs, Farz (1967), Jeetendra, Laxmikant Kudalkar, Mohammad Rafi, Pyarelal | No Comments »