Archive for the ‘Rajendra Krishan’ Category

Meri Saamne Waali Khidki Mein from Padosan (1968)

Saturday, October 18th, 2008

Movie : Padosan (1968)
Singers : Kishore Kumar
Song : Meri Saamne Waali Khidki Mein
Lyricist : Rajendra Krishan
Actors : Sunil Dutt, Saira Banu, Mehmood, Kishore Kumar,Mukri, Agha
Music Director : R D Burman

Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

Afsos ye hai ki wo humse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

Jis roz se dekha hai usko
Hum shama jalaana bhool gaye
Jis roz se dekha hai usko
Hum shama jalaana bhool gaye

Dil thaam ke aise baithe hain
Kahan aana jaana bhool gaye
Ab aath peher in aankhon mein
Wo chanchal mukhda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

Barsaat bhi aake chali gayi
Baadal bhi garaj ke baras gaye
Par uski ek jhalak ko hum
Aye husn ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat ye dukhda rehta hai

Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ki wo humse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

This is a very hit song of the film Padosan which was released in 1968. It is a musical comedy and all the songs of the film became much hit among people. Music Direction of the film is done by R D Burman.

Shola Jo Bhadke Dil Mera Dhadke from Albela (1951)

Friday, October 17th, 2008

Movie : Albela (1951)
Singers : Ramchandra Narhar Chitalkar & Lata Mangeshkar
Song : Shola Jo Bhadke Dil Mera Dhadke
Lyricist : Rajendra Krishan
Actors : Bhagwan, Geeta Bali
Music Director : Ramchandra Narhar Chitalkar

Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke

Mehki hawayein behke kadam mere
Aise mein thaam lo aa ke balam mere
Mehki hawayein behke kadam mere
Aise mein thaam lo aa ke balam mere

Patta bhi khadke to bijli si kadke
Patta bhi khadke to bijli si kadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke

Pyaar ko mere kisne pukara
Dil mein utar gaya kiska ishaara
Pyaar ko mere kisne pukara
Dil mein utar gaya kiska ishaara

Yaad ye kiski laayi pakad ke
Yaad ye kiski laayi pakad ke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke

Aa aa aa aa…
Dekha jo tumko dekha jo tumko
Dard gaya tham
Ab to na honge tumse juda hum
Dekha jo tumko dard gaya tham
Ab to na honge tumse juda hum

Jee na sakenge tumse bichhad ke
Jee na sakenge tumse bichhad ke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke

A hit song from the film Albela which was released in 1951. Director of the film is Bhagwan who is also the lead actor of this film. Its a musical comedy film and the music is given by Rasmchandra Narhar Chitalkar.