Archive for the ‘Jodha Akbar’ Category

Kehne ko Jashn e Bahara Hai from Jodha Akbar

Friday, August 22nd, 2008

Movie : Jodha Akbar
Singers : Javed Ali
Song : Kehne ko Jashn e Bahara Hai
Lyricist : Javed Akhtar
Actors : Hrithik Roshan and Aishwarya Rai
Music Director: A R Rehman

Kehne ko jashn e bahara hai
Ishq ye dekh ke hairaan hai
Kehne ko jashn e bahara hai
Ishq ye dekh ke hairaan hai
Phool se khushboo khafa khafa hai gulshan mein
Chhupa hai koi ranj fiza ki chilman mein
Saare sehme nazaare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein khoi khoi si baatein hain
Hooo…
kehne ko jashn e bahara hai
Ishq ye dekh ke hairaan hai
Phool se khushboo khafa khafa hai gulshan mein
Chhupa hai koi ranj fiza ki chilman mein

Kaise kahein kya hai sitam
Sochte hai ab ye hum
Koi kaisen kahen wo hain ya nahi hamaare
Karte to hain saath safar
Faasle hain phir bhi magar
Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinaare
Paas hai phir bhi paas nahi
Hum ko ye ghum raas nahi
Saare sehme nazaare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein khoi khoi si baatein hain

Humne jo tha nagma suna
Dil ne tha usko chuna
Ye dastaan hamein waqt ne kaisi sunaai
Hum jo agar hai ghumgeen
Wo bhi udhar khush to nahi
Mulaakaton mein hai jaise ghul si gayi tanhaai
Milke bhi ham milte nahi
Khilke bhi gul khilte nahi
Aankhon mein hain bahaaren dil mein khiza
Saare sehme nazaare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Dil mein khoi khoi si baatein hain
Hoooo…

Kehne ko jashn e bahara hai
Ishq ye dekh ke hairaan hain
Phool se khushboo khafa khafa hai gulshan mein
Chhupa hai koi ranj fiza ki chilman mein

The song is a romantic number in the movie sung by Javed Ali. A very soft song which creates a beautiful enviornment. Javed Akhtar did a good job for this song.

Azeem o shaan shehenshah from Jodha Akbar

Friday, August 22nd, 2008

Movie : Jodha Akbar
Singers : Mohammed Aslam and Bony Chakravarthy
Song : Azeem o shaan shehenshah
Lyricist : Javed Akhtar
Actors : Hrithik Roshan and Aishwarya Rai
Music Director: A R Rehman

Azeem o shaan shehenshah
Azeem o shaan shehenshah Farwa rawa
Hamesha hamesha salamat rahe
Tera ho kya bayaan tu shaan e hindustaan
Hindustaan teri jaan tu jaan e hindustaan
Marhaba ho marhaba Marhaba ho marhaba
Aazeem o shaan shehenshah Farwa rawa
Hamesha hamesha salamat rahe
Tera ho kya bayaan tu shaan e hindustaan
Hindustaan teri jaan tu jaan e hindustaan
Marhaba ho marhaba Marhaba ho marhaba

Dhin dhum ta na na na Dhin dhum ta na na na
Dhin dhum dhin dhum
Dhig da dhum ta na na na Dhig da dhum ta na na na
dhig da dhum dhig da dhum
Dhi na na dhi na na na na dhi na na num
Ta na na na na na na na na num
Dhi na num dhi na num jalauddin akbar

Sapne viran ma har aangan ma
Prem hai tumhara har man ma
Daya jo tumhari mahabali hai
Desh mein sukh ki pawan chali hai
Chan chana chan chana chan chana na na
Chan chana chan chana chan chana na na
Marhaba ho marhaba Marhaba ho marhaba
Azeem o shaan shehenshah Farwa rawa

Deta hai har dil yehi gawahi
Dilwale hain zille ilahi
Jao jidhar bhi niklo jidhar se
Galiyon galiyon sona barse
Chan chana chan chana chan chana na na
Chan chana chan chana chan chana na na
Marhaba ho marhaba Marhaba ho marhaba
Azeem o shaan shehenshah Farwa rawa

Tera mazhab hai jo mohabbat
Kitne dilon par teri hukumat
Jitna kahe hum utna kam hai
Tehzeebon ka tu sangam hai
Chan chana chan chana chan chana na na
Chan chana chan chana chan chana na na
Marhaba ho marhaba Marhaba ho marhaba
Azeem o shaan shehenshah
Azeem o shaan shehenshah Farwa rawa

Hamesha hamesha salamat rahe
Tera ho kya bayan Tu shaan e hindostaan
Hindustaan teri jaan Tu jaan e hindustaan
Marhaba ho marhaba Marhaba ho marhaba
Dhin dhum ta ra ra ra
Dhin dhum tu hai raja dhin dhum dhin dhum
Dhig da dhum bali hari
Dhig da dhum praja saari
Dhig da dhum dhig da dhum
Dhi na na dhi na na na na dhi na na num
Yahan bhi wahan bhi hai teri dhoom
Dhi na num dhi na num jalauddin akbar

Hrithik Roshan had worked hard to play the character of Great Akbar. He got trained in fighting stunts from professionals for the film. Aishwarya also got training for some fighting scenes.

Khwaja Mere Khwaja from Jodha Akbar

Thursday, August 21st, 2008

Movie : Jodha Akbar
Singers : A R Rehman
Song : Khwaja Mere Khwaja
Lyricist : Javed Akhtar
Actors : Hrithik Roshan and Aishwarya Rai
Music Director: A R Rehman

Khwaja ji khwaja, Khwaja ji, khwaja ji, khwaja ji
Ya garib nawaz, Ya garib nawaz
Ya garib nawaz, Ya moinuddin
Ya muinuddin
Ya khwaja ji, ya khwaja ji
Ya khwaja ji, ya khwaja ji
Ya khwaja ji, ya khwaja ji

Khwaja mere khwaja Dil mein sama ja
Shahon ka shah tu Ali ka dulara
Khwaja mere khwaja Dil mein sama ja
Shahon ka shah tu Ali ka dulara
Khwaja mere khwaja Dil mein sama ja
Dil mein sama ja
Beqaso ki taqdeer Tune hai sanwaari
Tune hai sanwaari
Khwaja mere khwaja
Aa…

Tere darbar mein khwaja
Noor ko hai dekha
Aa..Tere darbar mein khwaja
Sar jhukate hain auliya
Tu hai unalwali khwaja
Rutba hai pyara
Chahne se tujhko khwaja ji mustafa ko paya
Khwaja mere khwaja Dil mein sama ja
Shaahon ka shah tu Ali ka dulara

Mere peer ka sadka, Mere peer ka sadka
Aa..Hai mere peer ka sadka
Tera daman hai thama
Khawaja ji
Tali har bala hamaari
Chhaya hai khumar tera
Jitna bhi rashq kare beshaq
To kam hai aye mere khwaja
Tere kadmon ko mere rehnuma nahi chhodna gawara

Khwaja mere khwaja Dil mein sama ja
Shaahon ka shah tu Ali ka dulara
Khwaja mere khwaja Dil mein sama ja
Shaahon ka shah tu Ali ka dulara

Khwaja mere khwaja Dil mein sama ja
Beqaso ki taqdeer Tune hai sanwaari
Khwaja ji, Khwaja ji, Khwaja ji, Khawaja ji

This song of the film is much liked by the people. It is in the voice of A R Rehman and he gave a nice soft touch to the song.