Tune o rangeele kaisa jaadu kiya from Lata Mangeshkar
Thursday, September 11th, 2008Movie : Kudrat
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Actors : Raj Kumar, Hema Malini, Rajesh Khanna, Priya Rajvansh, Vinod Khanna
Music Director : R D Burman
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwaala jiya
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwaala jiya
Baahon mein chhupaake ye kya kiya, o re piya ho ho
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwaala jiya
Paas bulaake gale se lagaake
Tune to badal daali duniya
Naye hain nazaare, naye hain ishaare
Rahi na wo kal waali duniya
Paas bulaake gale se lagaake
Tune to badal daali duniya
Naye hain nazaare, naye hain ishaare
Rahi na wo kal waali duniya
Sapne dikhaake ye kya kiya, o re piya oh oh
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwaala jiya
O mere saajan, kaisi ye dhadkan
Shor machaane lagi man mein
Jaise leheraaye nadiya ka paani
Laher uthe re mere tan mein
O mere saajan, kaisi ye dhadkan
Shor machaane lagi man mein
Jaise leheraaye nadiya ka paani
Laher uthe re mere tan mein
Mujh mein samaake ye kya kiya, o re piya ho ho
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwaala jiya
Baahon mein chhupaake ye kya kiya, o re piya oh oh
Tune o rangeele kaisa jaadu kiya
Piya piya bole matwaala jiya
A beautiful song in the great voice of Lata Mangeshkar and it is nicely composed by R D Burman. It is a romantic song and also an evergreen song that is still fresh in people’s mind.