Archive for the ‘Shree 420’ Category

Ramaiya Vastawaiya Ramaiya Vastawaiya from Shree 420

Friday, October 17th, 2008

Movie : Shree 420
Singers : Mohammed Rafi, Mukesh and Lata Mangeshkar
Song : Ramaiya Vastawaiya Ramaiya Vastawaiya
Lyricist : Shailendra
Actors : Raj Kapoor, Nargis, Nadira, Lalita Pawar
Music Director : Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal

Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya

Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya

Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya

Naino mein thi pyaar ki roshni
Teri aankhon mein ye duniyadaari na thi
Teri aankhon mein ye duniyadaari na thi
Tu aur tha tera dil aur tha
Tere man mein ye meethi kataari na thi
Tere man mein ye meethi kataari na thi
Main jo dukh paun to kya
Aaj pachataun to kya
Main jo dukh paun to kya
Aaj pachataun to kya

Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Aa..aa..aa

Us des mein tere pardes mein
Sone chaandi ke badle mein bikte hain dil
Sone chaandi ke badle mein bikte hain dil
Is gaon mein dard ki chhaon mein
Pyar ke naam par hi dhadakte hain dil
Pyar ke naam par hi dhadakte hain dil
Chaand taaron ke tale raat ye gaati chale
Chaand taaron ke tale raat ye gaati chale
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Aa..aa..aa

Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya

Yaad aati rahi
Dil dukhaati rahi
Apne man ko manana na aaya hamein
Apne man ko manana na aaya hamein
Tu na aaye to kya
Bhool jaaye to kya
Pyaar kar ke bhulana na aaya hamein
Wahin se door se hi
Tu bhi ye keh de kabhi
Wahin se door se hi
Tu bhi ye keh de kabhi
Maine dil tujhko diya
Maine dil tujhko diya

Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya

Aa aa…
Rasta wohi aur musafir wohi
Ek taara na jaane kahan chhup gaya
Ek taara na jaane kahan chhup gaya
Duniya wohi duniya waale wohi
Koi kya jaane kiska jahan lut gaya
Koi kya jaane kiska jahan lut gaya
Meri aankho mein rahe kon jo mujhse kahe

Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Aa aa…aa.

Shree 420 is romantic drama which is directed and produced by Raj Kapoor. The film was released in 1955
and Raj Kapoor became much famous with this film.

Pyar Hua Ikraar Hua Hai from Shree 420

Monday, October 13th, 2008

Movie : Shree 420
Singers : Manna Dey and Lata Mangeshkar
Song : Pyar Hua Ikraar Hua Hai
Lyricist : Shailendra
Actors : Raj Kapoor, Nargis, Nadira, Lalita Pawar
Music Director : Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal

Pyar hua ikraar hua hai
Pyar se phir kyun darta hai dil
Pyar hua ikraar hua hai
Pyar se phir kyun darta hai

Kehta hai dil rasta mushkil
Malooum nahi hai kahan manzil
Kehta hai dil rasta mushkil
Malooum nahi hai kahan manzil

Pyar hua ikraar hua hai
Pyar se phir kyun darta hai dil
Kehta hai dil rasta mushkil
Malooum nahi hai kahan manzil
Pyar hua ikraar hua hai
Pyar se phir kyun darta hai dil

Kaho ki apni preet ka geet na badlega kabhi
Tum bhi kaho is raah ka meet na badlega kabhi
Pyaar jo toota saath jo chhoota
Chaand na chamkega kabhi
Aa ha ha aa ha ha, Aa aa aa aa aa aa
Aa aa aa aa aa aa, Aa aa aa aa aa aa

Pyar hua ikraar hua hai
Pyar se phir kyun darta hai dil
Kehta hai dil rasta mushkil
Malooum nahi hai kahan manzil

Pyar hua ikraar hua hai
Pyar se phir kyun darta hai dil

Raatein dason dishaaon se kahengi apni kahaniyaan
Geet hamare pyar ke dohraayengi jawaniyaan
Main na rahungi tum na rahoge
Phir bhi rahengi nishaniyaan

Pyar hua ikraar hua hai
Pyar se phir kyun darta hai dil
Kehta hai dil rasta mushkil
Malooum nahi hai kahan manzil
Kehta hai dil rasta mushkil
Malooum nahi hai kahan manzil

Pyar hua ikraar hua hai
Pyar se phir kyun darta hai dil

Aa ha ha aa ha ha, Aa aa aa aa aa aa
Aa aa aa aa aa aa, Aa aa aa aa aa aa

An evergreen song from the film ‘Shree 420′. This romantic number is a memorable song in the bollywood
history. The song is picturised on Raj Kapoor and Nargis in a dark night with raining enviornment.