Archive for the ‘Roshan’ Category

Jo vaada kiya wo nibhaana padega from Taj Mahal

Sunday, November 16th, 2008

Movie : Taj Mahal
Singers : Mohammad Rafi and Lata Mangeshkar
Song : Jo vaada kiya wo nibhaana padega
Lyricist : Sahir Ludhianvi
Actors : Pradeep Kumar, Beena Roy
Music Director : Roshan

 

 

 

 

 

Jo vaada kiya wo nibhaana padega
Roke zamaana chaahe roke khudayi
Tumko aana padega
Jo vaada kiya wo nibhaana padega

Tarasti nigaahon ne aawaz di hai
Mohabbat ki raahon ne awaaz di hai
aa aa….
Jaane haya jaane ada chhodo tarsaana
Tumko aana padega
Jo vaada kiya wo nibhaana padega

Ye maana hamein jaan se jaana padega
Par ye samajh lo tumne jab bhi pukaara
Humko aana padega
Jo vaada kiya wo nibhaana padega

Hum apni wafa pe na ilzaam lenge
Tumhe dil diya hai tumhe jaan bhi denge
aa aa..
Jab ishq ka sauda kiya
Phir kya ghabraana
Humko aana padega
Jo vaada kiya wo nibhaana padega

Chamakte hain jab tak ye chaand aur taare
Na tootenge eh do paimaane hamaare
Ek doosra jab de sada hoke deewana
Humko aana padega
Jo vaada kiya wo nibhaana padega
Nibhaana padega

 

 

 

It is a famous song from the film Taj Mahal which was directed by M. Sadiq in 1963. This is a beautiful romantic song in the voice of Mohammad Rafi and Lata Mangeshkar.

Laaga Chunari Mein Daag Chhupaun Kaise from Dil Hi To Hai

Thursday, October 16th, 2008

Movie : Dil Hi To Hai
Singers : Manna Dey
Song : Laaga Chunari Mein Daag Chhupaun Kaise
Lyricist : Sahir Ludhianvi
Actors : Raj Kapoor, Nutan, Pran, Agha
Music Director : Roshan, Omi Sonik

Laaga
Chunari mein daag chhupaun kaise
laaga chunari mein daag
Chunari mein daag chhupaun kaise
Ghar jaun kaise
Laaga chunari mein daag chhupaun kaise
Laaga chunari mein daag…

Ho gayi maili mori chunariya
Kore badan si kori chunariya
Ho gayi maili mori chunariya
Kore badan si kori chunariya
Aa… jaake babul se
Nazrein milaaun kaise ghar jaun kaise
Laaga chunari mein daag chhupaun kaise
Laaga chunari mein daag chhupaun kaise
Laaga chunari mein daag…

Bhool gayi sab vachan bida ke kho gayi main sasuraal mein aake
Bhool gayi sab vachan bida ke kho gayi main sasuraal mein aake
Aa… jaake babul se
Nazrein milaaun kaise ghar jaun kaise
Laaga chunari mein daag…

Kori chunariya aatma mori mail hai maaya jaal
Kori chunariya aatma mori mail hai maaya jaal
Wo duniya more babul ka ghar
Ye duniya sasuraal
Haan jaake babul se
Nazrein milaaun kaise ghar jaun kaise
Laaga chunari mein daag chhupaun kaise
Laaga chunari mein daag chhupaun kaise
Laaga chunari mein daag…
Laaga chunari mein daag…

This is a famous number in the list of Manna Dey songs. The music for this film is composed by Roshan Lal
Nagrath (better known as ‘Roshan’). He was the father of famous director and actor Rakesh Roshan and
grandfather of today’s superstar Hrithik Roshan.