Archive for the ‘Tauseef Akhtar’ Category

Shamma Shamma Jale from Mere Baap Pehle Aap

Monday, July 21st, 2008

Movie : Mere Baap Pehle Aap
Singers : Sunidhi Chauhan
Song : Shamma Shamma
Lyricist : Sameer
Actors : Akshaye Khanna, Genelia D,Souza, Paresh Rawal, Om Puri
Music Director : Tauseef Akhtar, Vidyasagar

Shamma shamma jale, guncha guncha pale
Shamma shamma jale, guncha guncha pale

Sau afsanon mein, sau paimaano mein, sau rangon mein dhale

Mera to charcha hai yahaan wahaan, everywhere everywhere
Mera to aashiq hai saara jahaan, everywhere everywhere

Wo mujhko chaahe ye mujhko chaahe main hun kanwaari kali

Khali bali khali bali khali bali khali bali

Mera mera mera mera nasha nasha nasha nasha
Mera mera mera mera aisa nasha
Bacha bacha bacha bacha koi nahi bacha bacha
Koi nahi koi nahi mujhse bacha
Chaahe deewaano ki nazar ho
Parwaano ka jigar ho
Wo mujhko chaahe ye mujhko chaahe main hun kunwaari kali
Khali bali khali bali khali bali khali bali

Shamma shamma jale, guncha guncha pale
Shamma shamma jale, guncha guncha pale

Kabhi kabhi naram naram kabhi kabhi garam garam
Kabhi kabhi cool cool rehti hun main
Zara zara sard sard zara zara sard sard
Zara zara tez tez behti hun main
Wo chaahe dilbar ho ya diljala ho
Wo chaahe mastana manchala ho
Wo mujhko chaahe ye mujhko chaahe main hun kunwaari kali
Khali bali khali bali,
Khali bali khali bali khali bali khali bali

An item number sung by Sunidhi Chauhan and she made this song rocking by her heart throbing voice. The Song is picturised on a beach with Om puri and Mumait Khan who is better known as an item girl.

Maine Hawa Ke Paron Pe from Mere Baap Pehle Aap

Sunday, July 20th, 2008

Movie : Mere Baap Pehle Aap
Singers : Udit Nayaran, Shreya Ghoshal
Song : Maine Hawa Ke Paron Pe
Lyricist : Sameer
Actors : Akshaye Khanna, Genelia D,Souza, Paresh Rawal, Om Puri
Music Director : Tauseef Akhtar, Vidyasagar

Sa sa sa sa re ga, sa sa sa sa ma ga, sa sa sa sa re ga pa ma ga re

Maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
Tune padha ke nahin jaane jaana, milke mujhe batlaana
Phoolon mein taaron mein, saare nazaaron mein
Aankhon ne dekha hai chehra tera

Ho maine khayalon ka jahaan basaaya raaton ko khwaabon mein tujhe

chhupaaya
Man ke tarichon mein tujhe sajaaya jaane tu jaane na hoo…
Yaadon ki maine tasveer banaayi, tujhse kahi na har baat chupaayi
Sehti rahi tum jaan judaai, maane tu maane na
Tere hijaab ki khili khili khili hai chandni
Tere shabaab ki saji saji saji hai ragini
Kya karoon kya karoon, jeene na deti hai teri ada
Maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
Tune padha ke nahin jaane jaana, milke mujhe batlaana

Hey senorita,
Sa sa sa sa re ga, sa sa sa sa ma ga, sa sa sa sa re ga pa ma ga re
Sa sa sa sa re ga, sa sa sa sa ma ga, sa sa sa sa re ga pa ma ga re

Itni haseen kaayenaat hogi, dilkash badi ye raat hogi
Socha nahin tha mulakaat hogi, maine to jaane jaan
Masti mein dooba hai sama sharaabi, hone laga aalam gulabi
Aaye na chain kahin zara bhi, behke mere armaan
Raha kareeb hi zara zara zara sa faasla
Na toota toot ke zara zara zara sa silsila
Aa gaye paas hum saanson mein mehki hai teri wafa

Maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
Tune padha ke nahin jaane jaana, milke mujhe batlaana
Phoolon mein taaron mein, saare nazaaron mein
Aankhon ne dekha hai chehra tera

It is a love song of the movie, which is sung by Udit Narayan and Shreya Ghoshal. A good touch of love feelings are given to the song by Tauseef Akhtar and by both the playback singers.

Jaana Hai Tujhko Piya Ke from Mere Baap Pehle Aap

Sunday, July 20th, 2008

Movie : Mere Baap Pehle Aap
Singers : Alka Yagnik, Shaan
Song : Jaana Hai Tujhko Piya Ke
Lyricist : Sameer
Actors : Akshaye Khanna, Genelia D,Souza, Paresh Rawal, Om Puri
Music Director : Tauseef Akhtar, Vidyasagar

Jaana hai tujhko, piya ke angna
Sajaa le bindiya, sajaa le kangna
Peehar se aayi purwaai ki, babul ki mehki angnaai ki
Kehti hai goonj shehnai ki gori

Hooo, jaana hai tujhko, piya ke angna
Sajaa le bindiya, sajaa le kangna

Sun sun meri behna, kismat se hi maina aati hain aisi ghadiyan
Chun chun ke hai milti, mushkil se hain khilthi sehre waali ladiyaan
Sawar le nikhar le na hum se laaj kar
Raban dun bhula dun tu khud pe naaz kar
Tere man bhaaye sada tujhko lubhaaye sada tera man chaaha sajna

Peehar se aayi purwaai ki, babul ki mehki angnaai ki
Kehti hai goonj shehnai ki gori
Peehar se aayi purwaai ki, babul ki mehki angnaai ki
Kehti hai goonj shehnai ki gori
Hooo, jaana hai tujhko, piya ke angna

Dil dil mil jaate hain, milke kareeb aate hain, saagaron se milti nadiyaan
Na tan se na man se, na to kisi bandhan se, pyar se judi hain sadiyaan
Kabhi bhi na chhoote ye dhaaga preet ka
Na chhoote ye daaman kisi bhi meet ka
Tujhpe bhi mujhpe bhi chaahiye bas prem rang, chhaaye koi duja rang na

Peehar se aayi purwaai ki, babul ki mehki angnaai ki
Kehti hai goonj shehnai ki gori
Peehar se aayi purwaai ki, babul ki mehki angnaai ki
Kehti hai goonj shehnai ki gori
Hooo, jaana hai tujhko, piya ke angna
Sajaa le bindiya, sajaa le kangna

It is a kind of a situational song which shows the enviornment of a wedding. A little touch of south indian music is given to the song by Tauseef Akhtar, who is the music director of the movie.

Mere Baap Pehle Aap from Mere Baap Pehle Aap

Saturday, July 19th, 2008

Movie : Mere Baap Pehle Aap
Singers : Sangeet Haldipur
Song : Mere Baap Pehle Aap
Lyricist : Sameer
Actors : Akshaye Khanna, Genelia D,Souza, Paresh Rawal, Om Puri
Music Director : Tauseef Akhtar, Vidyasagar

O mere baap pehle aap, O mere baap pehle aap
Batao tumhe main bhala kaise, karo na zid na karo aise

Maan lo baat maan lo maan lo Maan lo baat maan lo

Ghodi pe chadke jaunga, sehra bhi sar pe sajaunga
Waada hai tumse waada hai, dulhan bhi saath le aaunga
Han..ho, Ghodi pe chadke jaunga, sehra bhi sar pe sajaunga
Waada hai tumse waada hai, dulhan bhi saath le aaunga
Lekin meri baaton ka, tum samjho pehle ishaara
Samjho pehle ishaara, lekin meri baaton ka
Tum samjho pehle ishaara, aise na karo kinara
Tum samjho pehle ishaara, aise na karo kinara

Batao tumhe main bhala kaise, karo na zid na karo aise
Batao tumhe main bhala kaise, karo na zid na karo aise
Maan lo baat maan lo maan lo Maan lo baat maan lo
O mere baap pehle aap aap aap, O mere baap pehle aap

Meri biwi jab aayegi, wo mujhko uda le jaayegi
Main laakh use samjhaunga, wo ek samajh na paayegi
Is umar mujhse jyada, saathi ki hai tumhe hai jarurat,
Saathi ki hai tumhe hai jarurat, dekho jaldi se muhurat
Saathi ki hai tumhe hai jarurat, dekho jaldi se muhurat

Batao tumhe main bhala kaise, karo na zid na karo aise
Batao tumhe main bhala kaise, karo na zid na karo aise
Maan lo baat maan lo maan lo Maan lo baat maan lo maan lo Maan lo baat
O Mere Baap..

Priyadarshan took Akshay Khanna and Paresh Rawal together in this film. He had worked with both these together in his previous movies like HUNGAMA and HULCHUL. Both both were also comedy movies and make big blockbuster in bollywood.

Ishq Subhan Allah Ishq Subhan Allah from Mere Baap Pehle Aap

Friday, July 18th, 2008

Movie : Mere Baap Pehle Aap
Singers : Alisha Chinai, Neeraj Shridhar
Song : Ishq Subhan Allah Ishq Subhan Allah
Lyricist : Sameer
Actors : Akshaye Khanna, Genelia D,Souza, Paresh Rawal, Om Puri
Music Director : Tauseef Akhtar, Vidyasagar

Subhan allah…subhan allah…
Subhan allah…subhan allah…
Ishq subhan allah, love is gonna take u higher
Ishq subhan allah, its gonna such a hot n fire

Ishq hai ek haqeeqat, ishq hai ek ibaadat
Ishq dilon ki zaroorat. ye baat hai sach wallah

Tune meri neendon ko udaya, jagaya mera dard-e-dil jagaya
Deewana hame ishq mein banaya chain-o sukoon loota
Tera hi jaadu, teri hi khushboo, khayalon mein hai tu hai tu hai babyy..
Ishq subhan allah, love is gonna take u higher
Ishq subhan allah, its gonna such a hot n fire
Ishq subhan allah, love is gonna take u higher
Ishq subhan allah, its gonna such a hot n fire

Fasana kuchh bhi kaha na jaaye, akele ab to raha na jaaye
Jahan ko hum ishq mein bhulaye, pal pal suroor chhaya
Kasak jaagi lagan lagi koi na jaane haal apna babyy..
Ishq subhan allah, love is gonna take u higher
Ishq subhan allah, its gonna such a hot n fire

Ishq hai ek haqeeqat, ishq hai ek ibaadat
Ishq dilon ki zaroorat. ye baat hai sach wallah
Subhan allah…subhan allah…
Subhan allah…subhan allah…
Ishq subhan allah, love is gonna take u higher
Ishq subhan allah, its gonna such a hot n fire
Ishq subhan allah, love is gonna take u higher
Ishq subhan allah, its gonna such a hot n fire

It is a rib-tickling comedy made by Priyadarshan. He made Genelia D’souza as Akshay’s opposite actress, who had made her debut in movie TUJHE MERI KASAM with Ritesh Deshmukh.