Archive for the ‘Uncategorized’ Category

Maang Ke Saath Tumhara Maine Maang Liya Sansaar from Naya Daur (1957)

Saturday, October 18th, 2008

Movie : Naya Daur (1957)
Singers : Asha Bhonsle & Mohammad Rafi
Song : Maang Ke Saath Tumhara Maine Maang Liya Sansaar
Lyricist : Sahir Ludhianvi
Actors : Dilip Kumar, Ajit, Jeevan, Vyjayantimala
Music Director : O P Nayyar

Maang ke saath tumhara maine maang liya sansaar
Maang ke saath tumhara maine maang liya sansaar
Maang ke saath tumhara maine maang liya sansaar
Maang ke saath tumhara

Oo oo oo…aa aa aa…
Oo oo oo…aa aa aa…

Dil kahe dildaar mila
Hum kahein humein pyaar mila
Dil kahe dildaar mila
Hum kahein humein pyaar mila

Pyaar mila humein yaar mila
Ek naya sansaar mila
Pyaar mila humein yaar mila
Ek naya sansaar mila

Aa aa aa…
Aas mili armaan mila
Po oo oo…
Jeene ka samaan mila

Mil gaya ek sahaara
Aha ha ha ha…
Maang ke saath tumhara maine maang liya sansaar
Maang ke saath tumhara

Oo oo oo…aa aa aa…
Oo oo oo…aa aa aa…

Dil jawaan aur rut haseen
Chal yun hi chal de kahi
Dil jawaan aur rut haseen
Chal yun hi chal de kahi

Tu chaahe le chal kahin
Tujh pe hai mujhko yakeen
Tu chaahe le chal kahin
Tujh pe hai mujhko yakeen

Oo oo oo…
Jaan bhi tu hai dil bhi tu hi
Aa aa aa…
Raah bhi tu manzil bhi tu hi

Aur tu hi aas ka taara
Aha ha ha ha
Maang ke saath tumhara maine maang liya sansaar
Maang ke saath tumhara

Bruuuuuahh….yeah
Oh oh oh oh oh…..

It is a famous evergreen song of the film ‘Naya Daur’ which was released in 1957. The film was in black and
white print and later it was colored and released in August 2007.

Meri Saamne Waali Khidki Mein from Padosan (1968)

Saturday, October 18th, 2008

Movie : Padosan (1968)
Singers : Kishore Kumar
Song : Meri Saamne Waali Khidki Mein
Lyricist : Rajendra Krishan
Actors : Sunil Dutt, Saira Banu, Mehmood, Kishore Kumar,Mukri, Agha
Music Director : R D Burman

Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

Afsos ye hai ki wo humse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

Jis roz se dekha hai usko
Hum shama jalaana bhool gaye
Jis roz se dekha hai usko
Hum shama jalaana bhool gaye

Dil thaam ke aise baithe hain
Kahan aana jaana bhool gaye
Ab aath peher in aankhon mein
Wo chanchal mukhda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

Barsaat bhi aake chali gayi
Baadal bhi garaj ke baras gaye
Par uski ek jhalak ko hum
Aye husn ke maalik taras gaye
Kab pyaas bujhegi aankhon ki
Din raat ye dukhda rehta hai

Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos ye hai ki wo humse
Kuchh ukhda ukhda rehta hai
Meri saamne waali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai

This is a very hit song of the film Padosan which was released in 1968. It is a musical comedy and all the songs of the film became much hit among people. Music Direction of the film is done by R D Burman.

Tu Kitni Achhi Hai O Maa O Maa from Raja Aur Runk (1968)

Saturday, October 18th, 2008

Movie : Raja Aur Runk (1968)
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Tu Kitni Achhi Hai O Maa O Maa
Lyricist : Anand Bakshi
Actors : Sanjeev Kumar, Ajit, Mukri, Aruna Rai
Music Director : Laxmikant Kudalkar, Pyarelal

Tu kitni achhi hai
Tu kitni bholi hai
Pyari pyari hai
O maa o maa
O maa o maa

Tu kitni achhi hai
Tu kitni bholi hai
Pyari pyari hai
O maa o maa
O maa o maa

Ke ye jo duniya hai
Ye ban hai kaanto ka
Tu phulwaari hai
O maa o maa
O maa o maa
Dukhne lagi hai maa teri ankhiyaan
Dukhne lagi hai maa teri ankhiyaan
Mere liye jagi hai tu saari saari ratiyaan
Meri nindiya pe apni nindiya bhi
Tune maari hai
O maa o maa
O maa o maa

Tu kitni achhi hai
Tu kitni bholi hai
Pyari pyari hai
O maa o maa
O maa o maa

Apna nahi tujhe sukh dukh koi
Apna nahi tujhe sukh dukh koi
Main muskaaya tu muskaayi
Main roya tu royi
Mere hasne pe mere rone pe
Tu balihaari hai
O maa o maa
O maa o maa

Maa bachchon ki jaan hoti hai
Maa bachchon ki jaan hoti hai
Wo hote hai kismat waale jinki maa hoti hai
Kitni sundar hai kitni sheetal hai
Nyaari nyaari hai
O maa o maa
O maa o maa

Tu kitni achhi hai
Tu kitni bholi hai
Pyari pyari hai
O maa o maa
O maa o maa

It is a famous song of the film ‘Raja aur Runk’. The film was released in 1968. This is a family drama and it is directed by Kotayya Pratyagatma. He had worked in many Telugu films also.

Yaad Na Jaaye Beete Dino Ki from Dil Ek Mandir (1963)

Saturday, October 18th, 2008

Movie : Dil Ek Mandir (1963)
Singers : Mohammed Rafi
Song : Yaad Na Jaaye Beete Dino Ki
Lyricist : Shailendra
Actors : Raj Kumar, Meena Kumari, Rajendra Kumar, Mehmood
Music Director : Shankarsingh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal

Yaad na jaaye beete dino ki
Jaa ke na aaye jo din
Dil kyun bulaaye unhe
Dil kyun bulaaye

Yaad na jaaye beete dino ki
Jaa ke na aaye jo din
Dil kyun bulaaye unhe
Dil kyun bulaaye

Din jo pakheroo hote
Pinjre mein main rakh leta

Din jo pakheroo hote
Pinjre mein main rakh leta
Paalta unko jatan se
Paalta unko jatan se
Moti ke daane deta
Seene se rehta lagaaye

Yaad na jaaye beete dino ki
Jaa ke na aaye jo din
Dil kyun bulaaye unhe
Dil kyun bulaaye

Tasveer unki chhupa ke
Rakh doon jahan jee chaahe

Tasveer unki chhupa ke
Rakh doon jahan jee chaahe
Man mein basi ye moorat
Man mein basi ye moorat
Lekin mite na mitaaye
Kehne ko hain wo paraaye

Yaad na jaaye beete dino ki
Jaa ke na aaye jo din
Dil kyun bulaaye unhe
Dil kyun bulaaye

Yaad na jaaye beete dino ki

It is a sad song from the film ‘Dil Ek Mandir’ which was released in 1963 under the direction of C. V. Sridhar. Raj Kumar got the filmfare award for Best Supporting Actor in this film.

Pukaarta Chala Hoon Main from Mere Sanam

Saturday, October 18th, 2008

Movie : Mere Sanam
Singer : Mohammad Rafi
Song : Pukaarta Chala Hoon Main
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Actors : Biswajeet, Asha Parekh, Pran, Mumtaz
Music Director : O P Nayyar

Pukaarta chala hoon main
Gali gali bahaar ki
Bas ek chhaanv zulf ki
Bas ek nigaah pyaar ki

Pukaarta chala hoon main
Gali gali bahaar ki
Bas ek chhaanv zulf ki
Bas ek nigaah pyaar ki
Pukaarta chala hoon main

Ye dillagi ye shokhiyaan salaam ki
Yahi to baat ho rahi hai kaam ki
Koi to mud ke dekh lega is taraf
Koi nazar to hogi mere naam ki

Pukaarta chala hoon main
Gali gali bahaar ki
Bas ek chhaanv zulf ki
Bas ek nigaah pyaar ki
Pukaarta chala hoon main

Suni meri sada to kis yakeen se
Ghata utar ke aa gayi zameen pe
Rahi yahin lagan to aye dil e jawaan
Asar bhi ho rahega ek haseen pe

Pukaarta chala hoon main
Gali gali bahaar ki
Bas ek chhaanv zulf ki
Bas ek nigaah pyaar ki
Pukaarta chala hoon main

This famous song is from the film ‘Mere Sanam’ which was released in 1965. The movie was directed by Amar Kumar and production is done by G.P. Sippy. The film did a nice business at the box office.

Kya Hua Tera Vaada Wo Kasam from Hum Kisi Se Kam Nahi

Friday, October 17th, 2008

Movie : Hum Kisi Se Kam Nahi
Singers : Mohammad Rafi
Song : Kya Hua Tera Vaada Wo Kasam
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Actors : Rishi Kapoor, Kajal Kiran, Jalal Aga, Amjad Khan
Music Director : R D Burman

Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada

Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Wo din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada

Bhoolega dil jis din tumhe
Wo din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera vaada

Yaad hai mujhko tune kaha tha
Tumse nahi roothenge kabhi
Dil ki tarah se haath mile hain
Kaise bhala chhootenge kabhi
Teri baahon mein beeti har shaam
Bewafaa ye bhi kya yaad nahi

Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Wo din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada

O kehne waale mujhko farebi
Kaun farebi hai ye bata
Wo jisne ghum liya pyaar ki khaatir
Ya jisne pyaar ko bech diya
Nasha daulat ka aisa bhi kya
Ke tujhe kuchh bhi yaad nahi

Kya hua tera vaada
Wo kasam wo iraada
Bhoolega dil jis din tumhe
Wo din zindagi ka aakhri din hoga
Kya hua tera vaada
Wo kasam

A very famous sad song from the film ‘Hum Kisi Se Kam Nahi’. The film was relesed in 1977 and it is a
triangluar love story. Mohammad Rafi got a National Film Award for Best Male Playback Singer for this song.

Shola Jo Bhadke Dil Mera Dhadke from Albela (1951)

Friday, October 17th, 2008

Movie : Albela (1951)
Singers : Ramchandra Narhar Chitalkar & Lata Mangeshkar
Song : Shola Jo Bhadke Dil Mera Dhadke
Lyricist : Rajendra Krishan
Actors : Bhagwan, Geeta Bali
Music Director : Ramchandra Narhar Chitalkar

Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke

Mehki hawayein behke kadam mere
Aise mein thaam lo aa ke balam mere
Mehki hawayein behke kadam mere
Aise mein thaam lo aa ke balam mere

Patta bhi khadke to bijli si kadke
Patta bhi khadke to bijli si kadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke

Pyaar ko mere kisne pukara
Dil mein utar gaya kiska ishaara
Pyaar ko mere kisne pukara
Dil mein utar gaya kiska ishaara

Yaad ye kiski laayi pakad ke
Yaad ye kiski laayi pakad ke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke

Aa aa aa aa…
Dekha jo tumko dekha jo tumko
Dard gaya tham
Ab to na honge tumse juda hum
Dekha jo tumko dard gaya tham
Ab to na honge tumse juda hum

Jee na sakenge tumse bichhad ke
Jee na sakenge tumse bichhad ke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Shola jo bhadke dil mera dhadke
Dard jawaani ka sataaye badh badh ke

A hit song from the film Albela which was released in 1951. Director of the film is Bhagwan who is also the lead actor of this film. Its a musical comedy film and the music is given by Rasmchandra Narhar Chitalkar.

Ramaiya Vastawaiya Ramaiya Vastawaiya from Shree 420

Friday, October 17th, 2008

Movie : Shree 420
Singers : Mohammed Rafi, Mukesh and Lata Mangeshkar
Song : Ramaiya Vastawaiya Ramaiya Vastawaiya
Lyricist : Shailendra
Actors : Raj Kapoor, Nargis, Nadira, Lalita Pawar
Music Director : Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal

Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya

Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya

Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya

Naino mein thi pyaar ki roshni
Teri aankhon mein ye duniyadaari na thi
Teri aankhon mein ye duniyadaari na thi
Tu aur tha tera dil aur tha
Tere man mein ye meethi kataari na thi
Tere man mein ye meethi kataari na thi
Main jo dukh paun to kya
Aaj pachataun to kya
Main jo dukh paun to kya
Aaj pachataun to kya

Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Aa..aa..aa

Us des mein tere pardes mein
Sone chaandi ke badle mein bikte hain dil
Sone chaandi ke badle mein bikte hain dil
Is gaon mein dard ki chhaon mein
Pyar ke naam par hi dhadakte hain dil
Pyar ke naam par hi dhadakte hain dil
Chaand taaron ke tale raat ye gaati chale
Chaand taaron ke tale raat ye gaati chale
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Aa..aa..aa

Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya

Yaad aati rahi
Dil dukhaati rahi
Apne man ko manana na aaya hamein
Apne man ko manana na aaya hamein
Tu na aaye to kya
Bhool jaaye to kya
Pyaar kar ke bhulana na aaya hamein
Wahin se door se hi
Tu bhi ye keh de kabhi
Wahin se door se hi
Tu bhi ye keh de kabhi
Maine dil tujhko diya
Maine dil tujhko diya

Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya

Aa aa…
Rasta wohi aur musafir wohi
Ek taara na jaane kahan chhup gaya
Ek taara na jaane kahan chhup gaya
Duniya wohi duniya waale wohi
Koi kya jaane kiska jahan lut gaya
Koi kya jaane kiska jahan lut gaya
Meri aankho mein rahe kon jo mujhse kahe

Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Maine dil tujhko diya, Maine dil tujhko diya
Ho
Ramaiya vastawaiya, Ramaiya vastawaiya
Aa aa…aa.

Shree 420 is romantic drama which is directed and produced by Raj Kapoor. The film was released in 1955
and Raj Kapoor became much famous with this film.

Ab Ke Sajan Saawan Mein from Chupke Chupke (1975)

Friday, October 17th, 2008

Movie : Chupke Chupke (1975)
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Ab Ke Sajan Saawan Mein
Lyricist : Anand Bakshi
Actors : Amitabh Bachchan, Dharmendra, Jaya Bachchan, Sharmila Tagore, Asrani
Music Director : S D Burman

Ab ke sajan saawan mein
Ab ke sajan saawan mein
Aag lageli badan mein
Ghata barsegi magar tarsegi nazar
Mil na sakenge do man ek hi aangan mein

Ab ke sajan saawan mein
Aag lageli badan mein
Ghata barsegi magar tarsegi nazar
Mil na sakenge do man ek hi aangan mein
Ab ke sajan saawan mein

Do dilon ke beech khadi kitni deewarein
Haaye do dilon ke beech khadi kitni deewarein
Kaise sunungi main piya prem ki pukarein
Chori chupke se tum laakh karo jatan laakh karo jatan sajan
Mil na sakenge do man ek hi aangan mein
Ab ke sajan saawan mein

La la la la la la la
La la la la la la la

Itne bade ghar mein nahi ek bhi jharokha
Itne bade ghar mein nahi ek bhi jharokha
Kis tarah hum denge bhala duniya ko dhokha
Raat bhar jagaegi ye mast mast pavan mast mast pavan sajan
Mil na sakenge do man ek hi aangan mein isshhh….
Ab ke sajan saawan mein

Tere mere pyar ka ye saal bura hoga
Arre tere mere pyar ka ye saal bura hoga
Jab bahaar aayegi to haal bura hoga
Kaante lagayega ye phoolon bhara chaman phoolon bhara chaman sajan
Mil na sakenge do man ek hi aangan mein
Ab ke sajan saawan mein

Aag lageli badan mein
Ghata barsegi magar tarsegi nazar
Mil na sakenge do man ek hi aangan mein

Its a romantic comedy film which was released in 1975. Direction of the film is done by Hrishikesh Mukherjee. It was also said that Jaya Bachchan was pregnent during the making of this film.

Ajeeb Dastaan Hai Ye from Dil Apna Aur Preet Parai

Thursday, October 16th, 2008

Movie : Dil Apna Aur Preet Parai
Singers : Lata Mangeshkar
Song : Ajeeb Dastaan Hai Ye Kahan Shuru
Lyricist : Shailendra
Actors : Raj Kumar, Meena Kumari, Nadira, Tun Tun, Helen
Music Director : Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal

Ajeeb dastaan hai ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzile hain kaun si
Na wo samajh sake na hum

Ajeeb dastaan hai ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzile hain kaun si
Na wo samajh sake na hum

Ye roshni ke saath kyun
Dhuan utha chiraag se
Ye roshni ke saath kyun
Dhuan utha chiraag se
Ye khwaab dekhti hoon main
Ke jag padi hoon khwaab se

Ajeeb dastaan hai ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzile hain kaun si
Na wo samajh sake na hum

Mubaarake tumhe ke tum
Kisi ke noor ho gaye
Mubaarake tumhe ke tum
Kisi ke noor ho gaye
Kisi ke itne paas ho
Ke sab se door ho gaye

Ajeeb dastaan hai ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzile hain kaun si
Na wo samajh sake na hum

Kisi ka pyaar leke tum
Naya jahan basaoge
Kisi ka pyaar leke tum
Naya jahan basaoge
Ye shaam jab bhi aayegi
Tum humko yaad aaoge

Ajeeb dastaan hai ye
Kahan shuru kahan khatam
Ye manzile hain kaun si
Na wo samajh sake na hum

This famous sad number is from the film ‘Dil Apna Aur Preet Parai’ which was released in 1960. Direction
of the film is done by Kishore Sahu and the film got a filmfare award in Best Music Category.

Main Hoon Yuvraaj from Yuvraaj

Thursday, October 16th, 2008

Movie : Yuvraaj
Singers : Salman Khan
Song : Main Hoon Yuvraaj
Lyricist : Gulzar
Actors : Salman Khan, Anil Kapoor, Katrina Kaif, Zayed Khan,Mithun Chakraborty
Music Director : A R Rahman

Ladies and gentleman
Main hoon deven
Deven yuvraaj

Maaf karna Beethoven sahab
They think i m a bad guy
They are right
I m a bad guy

Thoda sa ziddi hoon
Thoda sa awaara
Thoda sa paagal
Thoda sa naakara
Yaani total mila ke
I m a bad guy

Ye hai meri mehbooba jo sochti hai ki mujhe kuch nahi aata
Na saaz hai na awaaz hai
Par main banunga superstar
To jaaneman jaan lo ek raaz
Ab suno meri awaaz

The film Yuvraaj is directed by Subhash Ghai and the music for the film is given by A R Rehman. The film can be said as a musical journey of some people where everybody wants to be a rockstar.

Hum Bhi Agar Bachche Hote from Door Ki Awaaz

Tuesday, October 14th, 2008

Movie : Door Ki Awaaz
Singers : Asha Bhonsle and Mahendra Kapoor
Song : Hum Bhi Agar Bachche Hote
Lyricist : Shakeel Badayuni
Actors : Joy Mukherjee, Saira Banu, Pran, Durga Khote
Music Director : Ravi

Happy birthday to you
Happy birthday to you

Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote

Naam hamaara hota dabloo babloo
Khane ko milte laddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you

Koi laata gudiya motor
Rail to koi laata phirki lattoo
Koi chaabi ka tattoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you

Kitni pyari hoti hai ye bholi si umar
Na naukri ki chinta na roti ki fikar
Nanhe munne hote hum to dete sau hukam
Peechhe phirte daddy mummy banke naukar
Choclate biscuit toffee khate
Aur peete duddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote

Naam hamaara hota dabloo babloo
Khane ko milte laddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Kaise kaise nakhare karte
Ghar waalon se hum
Pal mein hanste pal mein rote
Karte naak mein dum
Akkad bakkad lukka chhuppi
Kabhi chhua chhoo
Karte din bhar halla gulla
Danga aur oodham
Aur kabhi zid par ad jaate
Jaise adiyal tattoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote

Naam hamaara hota dabloo babloo
Khane ko milte laddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Ab to hai ye haal ki jab se beeta bachpan
Maa se jhagda baap se takkar biwi se anban
Kolhu ke hum bail bane hain
Dhobi ke gaddhe
Duniya bhar ke dande sar pe khaayein dana dan
Bachpan apna hota to na karte dhenchu dhenchu
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you

Hum bhi agar bachche hote
Hum bhi agar bachche hote

Naam hamaara hota dabloo babloo
Khane ko milte laddoo
Aur duniya kehti happy birthday to you
Happy birthday to you
Happy birthday to you…

The famous birthday song is from the film ‘Door Ki Awaaz’ which was released in 1964 and direction of the film is done by Devendra Goel. Lead starring of the film is Joy Mukherjee and Saira Banu.

Dil Ke Jharoke Mein Tujko Bitha Kar from Brahmachari

Friday, October 10th, 2008

Movie : Brahmachari
Singers : Mohammad Rafi
Song : Dil Ke Jharoke Mein Tujko Bitha Kar
Lyricist : Hasrat Jaipuri
Actors : Shammi Kapoor, Rajshree, Pran, Mehmood, Mumtaz
Music Director : Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal

Dil ke jharoke mein tujko bitha kar
Yadoon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas
Dil ke jharoke mein tujko bitha kar
Yadoon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas

Kal tere jalwe paraaye bhi honge
Lekin jhalak mere khwaabon mein hogi
Phoolon ki doli mein hogi tu rukhsat
Lekin mehek meri saanso mein hogi
Kal tere jalwe paraaye bhi honge
Lekin jhalak mere khwaabon mein hogi
Phoolon ki doli mein hogi tu rukhsat
Lekin mehek meri saanso mein hogi

Dil ke jharoke mein tujko bitha kar
Yadoon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas

Ab bhi tere surkh hothon ke pyaale
Mere tassavur mein saaki bane hain
Ab bhi teri zulf ke mast saaye
Birha ki dhoop mein sathi bane hain
Ab bhi tere surkh hothon ke pyaale
Mere tassavur mein saaki bane hain
Ab bhi teri zulf ke mast saaye
Birha ki dhoop mein sathi bane hain

Dil ke jharoke mein tujko bitha kar
Yadoon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas

Meri mohabbat ko thukra de chaahe
Main koi tujhse na shikwa karunga
Aankho mein rehti hai tasveer teri
Saari umar teri pooja karunga
Meri mohabbat ko thukra de chaahe
Main koi tujhse na shikwa karunga
Aankho mein rehti hai tasveer teri
Saari umar teri pooja karunga

Dil ke jharoke mein tujko bitha kar
Yadoon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas
Dil ke jharoke mein tujko bitha kar
Yadoon ko teri main dulhan banakar
Rakhunga main dil ke paas
Mat ho meri jaan udaas

A sad song from the film ‘Brahmachari’ which is picturised on Shammi Kapoor. Mohd Rafi had sung this song so beautifully that it became much popular in the sad chartbusters.