O Haseena Zulfon Waali Jaane Jahan from Teesri Manzil

Advertisements

Movie : Teesri Manzil
Singers : Asha Bhonsle and Mohammad Rafi
Song : O Haseena Zulfon Waali Jaane Jahan
Lyricist : Majrooh Sultanpuri
Actors : Shammi Kapoor, Asha Parekh, Prem Chopra, Helen
Music Director : R D Burman

O haseena zulfon waali jaane jahan
Dhoondti hain kaafir aankhein kiska nishaan
O haseena zulfon waali jaane jahan
Dhoondti hain kaafir aankhein kiska nishaan

Mehfil mehfil aye shama phirti ho kahaan
Mehfil mehfil aye shama phirti ho kahaan

Wo anjaana dhoondti hoon
Wo deewana dhoondti hoon
Jala kar jo chhip gayaa hai
Wo parwaana dhoondti hoon

Garm hain tez hain
Ye nigaahein meri
Kaam aa jaayengi sard aahein meri
Tum kisi raah mein to miloge kahin
Arre ishq hoon main kahin theherta hi nahi

Main bhi hoon galiyon ki parchhaai
Kabhi yahaan kabhi wahan
Shaam hi se kuchh ho jaata hai
Mera bhi jaadu jawaan

O haseena zulfon waali jaane jahan
Dhoondti hain kaafir aankhein kiska nishaan

Mehfil mehfil aye shama phirti ho kahaan
Mehfil mehfil aye shama phirti ho kahaan

Wo anjaana dhoondti hoon
Wo deewana dhoondti hoon
Jala kar jo chhip gayaa hai
Wo parwaana dhoondti hoon

Chhip rahe hain ye kya dhang hai apka
Aaj to kuchh naya rang hai apka
Haaye aaj ki raat main kya se kya ho gayi
Aha aapki saadgi to bala ho gayi
Main bhi hoon galiyon ki parchhaai
Kabhi yahaan kabhi wahan
Shaam hi se kuchh ho jaata hai
Mera bhi jaadu jawaan

O haseena zulfon waali jaane jahan
Dhoondti hain kaafir aankhein kiska nishaan

Mehfil mehfil aye shama phirti ho kahaan
Mehfil mehfil aye shama phirti ho kahaan

Wo anjaana dhoondti hoon
Wo deewana dhoondti hoon
Jala kar jo chhip gayaa hai
Wo parwaana dhoondti hoon

Theheriye to sahi kahiye kya naam hai
Meri badnaamiyon ka wafa naam hai
Oho katl kar ke chale ye wafa khoob hai
Haaye nazaan teri ye ada khoob hai
Main bhi hoon galiyon ki parchhaai
Kabhi yahaan kabhi wahan
Shaam hi se kuchh ho jaata hai
Mera bhi jaadu jawaan

O haseena zulfon waali jaane jahan
Dhoondti hain kaafir aankhein kiska nishaan

Mehfil mehfil aye shama phirti ho kahaan
Mehfil mehfil aye shama phirti ho kahaan

Wo anjaana dhoondti hoon
Wo deewana dhoondti hoon
Jala kar jo chhip gayaa hai
Wo parwaana dhoondti hoon

Another hit song from ‘Teesri Manzil’ in the voice of Asha and Rafi. This song was also much popular among people and also listed in the evergreen hits of Asha and Rafi.

Popular Songs:

 

No Responses to “O Haseena Zulfon Waali Jaane Jahan from Teesri Manzil”  

  1. No Comments
Posting Your Comment
Please Wait

Leave a Reply

There was an error with your comment, please try again.